Kabhi LaFz BhoL JaoN,

Kabhi LaFz BhoL JaoN,
Kabhi LaFz BhoL JaoN,
KaBhi BaaT BhoL JaoN,
TuJhe Iss QaDaR ChahOoN Apni ZaaT BhoL JaoN,
uTh KaR Kabhi Jo TeRe Paas Se ChaL Doon,
JaaTe Huwe KhuD Ko TeRe Paas BhoL JaoN..~!
  

Jun, 01 2010     177 chars (2 sms)     2625 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
tab kaheen ja k ik ghazal likhi...

main tuje sochta raha barson.
Ye Dil Ki Baat Nahi Kisi kO Batane Ki

Azal Se hi reet Hai Jug Se Isay Chupaane Ki

Bohat Sehel Hai Wada Wafa Ka Ker Lena

Zara C Daal Lo Aadat Isay Nibhane Ki

Samait Sakte ho Jeet Kab Apni Muthi Main

Humain Tou Pehle Hi Aadat Hai Haar Jane Ki

Humain Khanar Thi kisi Roz Chorh Jao Ge

Nahi Hai Zarurat Tum Ko Kisi Bahane Ki
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
zism naam matra hai us par jaan tum ho
mein kuch bhi nahi meri pehchaan tum ho
jee chahta hai aaj har cheez luta du
kuch kami hi nahi jab meri shaan tum ho
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Khul k dilse milo to saza dete hain log,
Sache jazbat b thukra dete hai log,
dekh nahi sakta do insano ka milna,
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
BAN GAYE HO JAAN AB
AB TO IS DIL ME UTTAR JAO,
MANGA HAI TUMHE KHUDA SE,
EK PAL K LIYE NAHI, IS LIYE KAHTE HAI,
AB TO MERE HUMSAFAR BAN JAO.
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
hay ishq k maaron ka itna hi fasana hay
ronay ko nahi koi hansnay ko zamana hay
aaj phir un kaa saamanaa hogaa
kyaa pataa us ke baad kyaa hogaa
aasamaa.N ro rahaa hai do din se
aap ne kuchh kahaa sunaa hogaa
do qadam par sahii teraa kuuchaa
ye bhii sadiyo.n kaa faasalaa hogaa
ghar jalataa hai raushanii ke liye
ko_ii mujhasaa bhii dil jalaa hogaa
na janay konsa jazba tha jis ne khud hi...
meri hi zaat ka dushman bana diya mujko...