Jis k naam per tarapta tha main

Jis k naam per tarapta tha main
(A)Jis k naam per tarapta tha main
(S)Ab us k naam per tarap jata hon main
(C)Jis ko har pal bolata tha main

(ASC)ab us ko har pal bhol jata hon main
  

Jun, 02 2010     154 chars (1 sms)     2671 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suno!


Tum Azm waley ho
Bala ka zabt rekhtey ho
Tumhy koch bhee nahi ho ga


Magar daikho !


Jisey tum chor jatey ho
oosey to theek sey syayed
Bicherna bhi nahi ata,
Ishaq ka pehla bab likhti hon,
Zikar husan shbab likhti hon,
Un ki nazron ke teer sehti hon,
Zakham-e-dil ko gulab likhti hon,
Hosh jate hein un ki amad se,
us nazar ko sharab likhti hon,
Mil ke bichre hein jab se wo mujh se,
Zakham sehti hon khawab likhti hon,
Jab se paya he hijar ka lamha,
Bekhudi ka hisab likhti hon,
Rat k un udas lamhon mein, husan walon ka bab likhti hon,
Mein bi pagal hoi hon Tabasam
Mohabat ko azaab likthi hon
Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki...
Ab Hogaya Jo Hona Tha,

Bas Itna Hi Mujhko Rona Tha,

Jis Dil Me Rahe Ho Tum Saalo Se,

Wo Tumhare Liye To Ek Khilona Tha.
Jo khud pe jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par aamada nahi hotey…/
ilahe meray jazboo ko rawane de day..

muhbat k leay mere ek jaeane kum hai...
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain
ae rab tera insaaf bhi kesa hai alam-e-haqaqi main,

samandr bhi use jase payas nahi or sahra use daya jase payas hai.
choom leti hai kabhi lab to kabhi aariz-e-naaz

Tumne zulfon ko bahot sar pe chadha rakha hai
Unse Haal-E-Dil Kahoon Na Kahoon
Hai Bahut Mushkil Kahoon Na Kahoon

Jo Mere Waqt-E-Dafan Roya Hai Zar-Zar
Wahi Hai Mera Kaatil Kahon Na Kahon

Poochon Na Poochon Tera Maazi Gard-E-Dasht
Tujhse Tera Mustaqbil Kahoon Na Kahoon

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofaan
Tujhse Ae Yara ! Kahoon Na Kahoon
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Ek jurm hay mohabbat
Jo main ne kya hay
Ek ghalti hay mohabbat
Jo mujh se hooi hay
Ek dard hay mohabbat
Jo mujhay hooa hay
Ek ehsaas hay mohabbat
Jo main ne mehsoos kia hay
Ek jazba hay mohabbat
Jo meray andar hay
Ek bhool hay mohabbat
Jo main ne ki hay
Ek phool hay mohabbat
Jo main ne khilaya hay
Aur iss ki khushboo main
Charon taraf bakhair doon ga...!!!