Portey

Portey
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
||*MuGhal*||
  

Sep, 13 2011     184 chars (2 sms)     2652 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
raat chup hai par chand khamosh hai

kaise keh doon k aaj phir hosh nahi

aisa dooba hoon main tumhari aankhon mey

haath mey jam hai par peene ka hosh nahi
Ab kiya dhoondhte ho jaly hue kaghazon ki rakh mein faraz "
Wo jis ka unwan tum the wo afsana hi jal gaya.....!!
*~" Jis k milney ki nahi hoti door talk Umeed koi....


*~" Un k kho janey ka khudsha bhi bohut hota hai...!!
Karo gey Yaad Guzrey Zamaney ko..

Tarso Gey Hamarey Sath 1 Pal bitaney ko,

Phir AwAz dogey humey vapis bulaney ko,

Or hum kahian gey..!! Darwaza nahin hai..!!
Kabar sey Bahir aney ko..!!
Mere ander saans lena chor de

Ae udaasi! Mera peecha chor de

Chaand kya aangan main utra hai kabhi!

Sun meri jaan yeh tamanna chor de

Tu kabhi sookhe hue patto pe likh !

Sabz shaakhon ka qaseeda chor de
aghaz yun hoa tha,
us nay ghulaab bheja
main nay kitab kholi
aur us main rakh diya woh,
sab say usay chupaya,
anjam yeh hoa hy...

kuch khusk patiyan hyn
thori si mehek bhi hy,
bas,
or kuch nhi........!!!
Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe
Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai

Daffan Kardoo Hamien K Sanss Milly
Nabz Kuch Deer Se Thami Se Hai

Waqat Rahta Nahi Kahien Tik Kar
Uss Ki Addat Bhi Aadmi Se Hai

Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai
kya mila muhbt se?
khawab ki musafat se
wasl ki tamazt se
roz.o.shb riazt se

kiya mila muhbt se?

aik hijr ka sehra
aik shaam yadon ki
aik thaka hua aansu...
Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai ,

Woh Dor Ho Tu Baja Terk -e- Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai..
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.