short Poetry

short Poetry
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
  

Sep, 13 2011     136 chars (1 sms)     2585 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Apne Halaat Ka B Ehsas Nahi Hai Mujh Ko "Faraz"

Mei ne Oaron Se Suna Hai K Preshan Hun Mein...
Ratein Hain Udas Din Kade Hain,

Ae Dil Tere Hosle Bade Hen


Ae yad-e-habib Sath Daina,

Kuch mrhale sakt Aaa pde Hen


Rukna Ho agr to 100 bahane,

Jana Ho to Raste Bade Hain


Ab Kaise Bataein Wagah Kiya Bani,

Jub Ap bhi Sath Roo Pade Hain


Ab jane Kahan NaseeB lejaye?

Ghr Se to "faraz" Chal Pade hain....!
Me Uski Aanhkon Me DooB Kaisy Gaya...
"ROoMi"
Jis Ko Sahara Deny Ki Adat Ni Thi..
ub tu itbaar hu gaya hai tum ko meri muhabat ka.

malne k laye yun naqaab ord kar aya na karo.
main kase kisi ko apni sooch ka mahwar bana leta..

jis shakhs ko main ne kitabon ki terha prdha hai..
Hum To Har Ek Ko Apna Kar Risht Banate Gaye
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai.
Gunehgar Koi Aur Tha Hum Saza Pate Gaye
Aaina zarori hay...

Zindagi k che''hray ka...

Naqsh jab bigarr jaaey...

Dosto''n ki aankho''n may...

Dushhmani ubahr aaey...

Kaanch ki sunehri baat ....

Zair-e-lab bikhhar jaaey...

Lafz bay-yaqeeni k...

Chungalo''n may ghir jaaey''n....

Sakht bay-subaati ho...

Baat baat zaati ho..

Is tarah k aalam may...

Aaina zaroori hay...!