Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do
Elaaj Iska Bhala Kia Tujeh Bataon Mein
Bicher K Agar Tujhko Yaad Aaon mein
Tujhe manaon Her Bar Rooth Jane Per
Tu Zindagi hai Tujhe Kese Bhool Jaonga Mein