Is bharay sheher main

Is bharay sheher main
Is bharay sheher main tanha karta hoon hawa say baatain.

parta hay har qadam zameen par maira majnu ki tarah.
  

Jun, 02 2010     112 chars (1 sms)     2557 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni Roshni Ki bulandiyo''n Per Kabhi na Itrana

Chiraag Sab k Bujhte Hain Hawa Kisi Ki Nahi ...
Hazron mashghalay hain jo mjhay masroof rakhtay hain,
Magar Mohsin wo esa hai k phir bhi yad ata hai.
Suno jana!
Palat aana!

K koi yaad karta he,
Tumhe awaz deta he,

Tumhe khush dekhne k waste

Apne dil,e,muztir ko jo
na-shad karta he

Tumhari ik jhalak k waste
Galiyo me,

Raston me ,
Subho se sham,

Din se raat karta he

Jinhe tum se aqeedat he,
Teri be los chahat he,

Tumhe takne ki hasrat he,

JINHE TUM SE MUHABBAT HE,

Unhe kuch waqt dete hen

So gar mumkin ho kuch esa?

To un ki chah ki khatir

"SUNO JANA!

PALAT AAnA!

K

"KOI YAAD KARTA HAI"
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..
uss badnasib-musaafir ki qismat ko kya kahen

mohsin

dam torr diya jis ne manzil k saamne...
Bojh hain mujh par ab apni saansain bhi

kia karoN Ga main ab teri zindagi Le kr
main ne kaha k mujhy chor do ya tor do...

wo be-wafa hans k boli:

itnay naayaab khilonay roz kahan milty hain...
Ik mullk ghoom k a rahey hain hum
Gaye the kiun abb pashta rahey hain hum
Muhabat kya yeh hay k koi jo door jae
pir bhool janey main koi kasar chor jae na hum
Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
Khatayen Yad Rkhta hai
Wafaen Bhol Jata Hai

Wo Meri Chahton Ki Intehaen Bhol Jata Hai

Jo Pichly Jurm Hain Mery
Wo Unko Yad Rkhta Hai

Jo Main Nay Kaat li Hain Wo Sazaaen Bhool Jata Hai...!


Jany Kyon
Wo Mujh Ko Bhool Jata Hai,,?
Yeh Soch K Nikal Parha Hai Sard Raaton Mein Phirnay "FARAZ"

kaahin Chaand Ko Ehsaas-e-Tanhaai Naa Ho