Kuch Bay Jaan Umeedain

Kuch Bay Jaan Umeedain
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
  

Jun, 02 2010     132 chars (1 sms)     3427 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hasti ko muhbat main fana kon karega
Yeh farz mare siwa ada kon kare ga
Hatho ki lakiro ko zara ghor se dakh aa najomi
Yeh dakh ke mare sath wafa kon kare ga
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka... ;->
mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
Apnay ashko se b khud ko chupa k rona,
jb b rona to chiragho ko bhuja k rona,

Log parh laite ha chehray pe likhe tehreero ko,
kitna mushkil ha logo se chupa kar rona,

Hath jatay howay wo b to na mila kr gae
mein ne chaha tha jisay senay se lga kr rona...
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar
Mujhe aiane or tere saye se sakhat nafrat hai.

jana

tere jesa koi or kauon hu....
Tanha ho to Kabi mujh ko dhondna Dunyia se nahin apne dil se pochna Aas pas hi kahin basey rehtey hain hum yadon se nahi sath guzre lamhon se pochna
Nadiyon se Kinare Toot Sakte hain,

Aasmaan se Taare Toot Sakte hain.

Magar Iss Baat ki kabhi Umeed Mat Karna

ki Hum Doston ko Yaad Karna Bhool Sakte hain
Terey Jaisi Aankhon Waley, Sahil Per Jab Aatey Hain
To Lehrain Shoor Machati Hai, Loo Aaj Samandar Dhob Gea
Hum Yousaf_e_zaman thay abhi kal ke baat hai.
Tum hum pay mahrban thay abhi kal ke baat hai.

wo din bhe thay k hum he thay tumhari zuban par.
mozoo_e_dastan thay abhe kal ke baat hai.

khood unhai say pochtay phirtay hai rasta.
manzal k jo neshan tahy abhe kal ke baat hai.

kuch hadsoon say gir gay setary zameen par.
hum rashk_e_asman thay abhi kal ke baat hai.
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein



Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein