Dunya ke sitam ka koi

Dunya ke sitam ka koi
Dunya ke sitam ka koi hisaab nahi,









Lekin meri houslo ka bhi jawaab nahi...
  

Jun, 02 2010     94 chars (1 sms)     2810 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mujh mian aib soo honge magar ek khobi hai.

mian kisi ko raste mian chorda nai karta.
kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..
Bara Gumaan Tha Mausam Shanaas Hony Ka

Wohi Bahana Bana Hy Udaas Hony Ka

Fiza Mehakne Lagi, Roshni Chalakne Lagi

Tou Ye Nishaan Hy Tere Aas Pass Hony K
jo khushi tumhary qareeb ho
wo sada tumhay naseeb ho
tujhay wo khalos milay kay jo
teri zindagi par moheet ho
jo mayaar tujko pasand ho
jo tumhary dik ki umang ho
teri zindagi jo talab kary
taray hamsafer ka wo rung ho
jo kheyal dil main aseer ho a
ur dua main b taseer ho
hath uthaty he khuda karay teray
samny he tabeer ho
tujhy wo jahan milay jidher
ghamon ka guzer na ho j
idher roshni ho khalos ho
aur nafraton ki khaber na ho
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha
^ WO husn-e-Mujassam kamal uski aankhain "
^ Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain "

^ main jab b poochon sawal us se koi "
^Muje roz deti hain tall uski aankhain"

^jo bachey to do jahan de k le loon"
^Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain "

^ Ager koi poochey k dunia main kia hai
^zamana de ga misal uski aankhain"
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
Bas Itna Hi Chahna
Mere Baad Meri Ulfat Ko

k Agar Kabhi Main Yaad
Aao''n Tou Khud Se Pyar Krna
Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na

Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na

Zara Chupkey Se
Khamoshi Se

Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na

Khud Ko Ker k
Deewana Sa

Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na

Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon

Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na

Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar

Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na ..
Elaaj Iska Bhala Kia Tujeh Bataon Mein
Bicher K Agar Tujhko Yaad Aaon mein
Tujhe manaon Her Bar Rooth Jane Per
Tu Zindagi hai Tujhe Kese Bhool Jaonga Mein
KABHI SHABNAM TO KABHI SHABAB LAGTI HAI
TERI HANSI EK KHILTA GULAB LAGTI HAI
MAI PIYUN YA NA SAHI
LADKHADA KAR CHALTA HOON
KYONKI TERI GALI KI HAWA BHI
AB SHARAB LAGTI HAI................
Lay Urra Phir koi Khayal humain…

Saqia, Saqia Sambhaal humain….

Roo Rahay hain kay Aik Adat Hy..

werne Itna Nahe Malaal humain..

Hum Yahan Bhe Nahe hain Khush lakin..

Apni Mehfil Say Mat Nikaal Humain..

Hum Tere Dost Hain FARAZ Magar..

Ab Na Aur Mushkiloon main Daal Humain……