Ek hi zakhm Nahi sara

Ek hi zakhm Nahi sara
Ek hi zakhm Nahi sara Badan zakhmi Hai







Dard Hairan Hai ke Uthun To kahan sE uthun
  

Jun, 02 2010     96 chars (1 sms)     2550 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Waqt guzra tu yah malaal howa.
Khatam ak zindagi ka saal howa.
Kitne shiddat say koee yaad aya.
Aaj jeena bara mahaal howa.
Soch ke jheel main gira pathar.
Be sabab mustashirkhyaal howa.
Lo dekhay bohat magar jana.
Koe teri kaha misaal howa.
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath me.n lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hai.n
Wo to KehtA ThA usAy Boht C DuAen Yaad hAin FaraZ

KIA BichAr kr Phir Se miLny ki dua UsAy Yaad Nahi
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein
ranj e safar ki koi nishani to pas ho....

tori c khaak e koocha e dilbar hi le chalein....
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila






Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili
Tu mra ha tera naam koi or na le,

in sulagti ankhon ka jaam koi or na le.

kch islye b mene tera sth na chora,

tu gir gya to tjy thaam koi or na le!!!
Socha tha is baar un ko bhool jaen ge

Dekh kar b un ko andekha kar jaen ge

Phir jab jab samne aaye chehra un ka

Socha!!

Is baar dekh lain Agli baar bhool jaen ge.
choo rahe thay zalimoon ke sir mere paaon ke saht,
kis qadar uncha tha mein sooli pe charh janay ke baad.
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...