vo log bohut Khush

vo log bohut Khush
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya
  

Jun, 02 2010     286 chars (2 sms)     2659 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo nazaro se dur magar dil k pas ho,

Apne liye khas ho,

Sukh-dukh me jiska sath ho,

Dil jiska saaf ho,

Jaise ki hamare liye "AAP" ho.
dil ki dharkano ko dharka gaya koi
mere khawabon ko mehka gaya koi

hum to anjane rastey par chal rahe they
achnak pyar ka matlab shika gaya koi
Suno!

Tum Muje Aisay
Tang Na Kiya Karo

Kyu K

Jab Tum Nahi Hotay

To Mai Bahut Tang Hota Hoon... /
Do jumloN main simti hai dastan mohabbat ki

Usy toot ke chaha aur chah ke toot gaye hum !
Wo K Her Eahd-E-Wafa Se Mukarta Jaye
Dil WO Zalim K Usi Shaks Pe Merta Jaye
Mere Pehlu Mein Wo Aye To B Khushbu Ki Tarah
Mein Usey Jitna Sameton Wo Bikherta Jaye
Khafa Rah Kar Tum Bhi Na Rah Paoge
Jaan To Jaegi Hamari, Saans Tum Bhi Na Le Paoge
Meri Chahat Tum Se Alag Kab Hai,
Dil Ki Batain Tum Se Chup Kab Hai,
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Tarah,
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai
Koi ehd b us ko yad nhi,

koi bat b us ko yad nhi.

ik shkhs nay us ko chaha tha,wo zat b us ko yad nhi.

jab shab ki bijli chamki thi,

aur badal tot k barsa tha.

hum dono jis main bhigay thay,

wo barsat b us ko yad nhi.

wo sahil darya phool hawa,

wo wada sath nibhanay ka,

aur shab bhar "chand" ko daikha tha,wo rat bhi us ko yad ni.

wo kehta tha main sunta tha,

main kehta tha wo sunta tha.

un lakhoon batoon main koi ik bat b us ko yad nhi.
Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti

Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nho Hoti

Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy

Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti

Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn

So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat KamNahi Hoti
Pani se tasvir kaha banti he,

khwabo se takdir kaha banti he,

kisi ko chaho to sacche dilse,

kyunki ye zindgi phir kaha milti he.
Din udas Hain Teray Bin hijar shamain dasne lagi Hain,


Lout aao tum meray haal pe meri Tanhayian hansane lagi Hain.
jab se samjha humne hota kya ye pyar,
karne lage tabse kisi ka intezar,
manne lage unhe duaon me kitni baar ,
na jane kab hoga us chand ka didaar