Beetay rishtay talaash

Beetay rishtay talaash
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
  

Jun, 02 2010     299 chars (2 sms)     3710 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
teri yaad ki baraf baari ka mosam
sulagtaa raha dil k under akaylay
irada tha ji lungi tujhse bichar kar
guzarta nahi ik DECEMBER akaylay!!
Aaj phir us bewafa se pyar kyo hai......!
woh wapas aayegi yeh aitbaar kyo hai.....!
Bhoolna to chahte the dilse usey.....!
Phir bhi woh meri yaadon ki haqdaar kyo hai........!
aarzoo chaand ki nhe mohsin....

mein mitti ka hi diya hota...!!
bohat bey chein karta hey mujhey barsat ka mosam..
barastey motyon wali ghaneri rat ka mosam..

umadd ata hey aise mein ye palkon ki munderon par..
sulagtey, dil jalatey, reshmin jazbat ka mosam..

teri qurbat mein khamoshi ka alam haye kya kehna..
kabhi na keh ke bhi keh janey wali baat ka mosam..

muhabbat lakh rang badley magar badla nahi ab tak..
tumhari jeet ka mosam, hamari maat ka mosam..

teri palkon ka jhukna surmayi se baadlon jesa..
jo uthein to badal dalein ye kaynaat ka mosam
wo rat ka be nwa musafir wo tera shair wo tera"nasir"

teri gali tk tu hum ne dekha phir na jane kadhar gia wo..
Yaad Aatey Hain Jab Bhi Din Woh Puraney
Ye Naina Kyun Lagtey Hain Aansoo Bahaney

Pagley Hain Naina Itna Na Jaaney
Nahin Lottey Hain Kabhi Din Puraney

Woh Bachpan Ki Baatein Woh Rangeen Zamaney
Chootey Yoon Hum Say Hon Jaisey Khazaney

Kahan Lot''tey Hain Woh Saathi Puraney
Kahan Phir Say Miltey Hain Gum Kar Khazaney ....!
Tum Pe Khatam Sari Chahat Ho Gi ..

Phir Na Kisi Pe Ye Inayat Ho Gi

Kuch Is Tarah Se Karein ge Yaad tum Ko

Na Tum ko Shikwa Hoga Na Zamanay Ko Shikayat Ho Gi
waqt karta jo wafa ap hamary hoty

hum bhi oroon ki tarha app ko piyary hoty
kua mile ga tujhe bikhrey huye khuwabon k siwa.
rait pe chand ki tasveer banane walay.
maikaday band huye,dhund raha hun tujhko.
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaney walay..
mar gaye hum to ye qutbay pe likha jaye ga.
so gaye aap zamanay ko jaganey walay.
dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai"qateel".
janey kis dais gaya saath nibhanay walay.
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!
Yeh mere aansu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.