merey baghair kabhi

merey baghair kabhi
merey baghair kabhi guzar auqat na karna,
jiss baat pe dil tootey wo baat na karna,
rakhna tamam umer mujhey dil mein basa kar,
chahey apnoon mein shamil meri zaat na karna
  

Jun, 02 2010     175 chars (2 sms)     2914 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

para na farq anokhi zuban likhne se.

zamen zamen he rhi asman likhne se.

rha jis se taluq her ghari mera.

wo ban saka na meri jan,jan likhne se.

panah mil na saki ek pal kabhi mjko.

kisi ujari jaga ko makan likhne se.

kari tapish se jhulsta raha badan mera.

k dhup dhup hi rahi sayeban likhne se.
bhari bazam mai raaz ki baat keh di......

barha bay-adab hun saza chahta hun......
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se Aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
Dil-E-Nadan Ajab Justju May Hai,
Tum Se Shoq-E-Guftgu May Hai,
Maine Socha Hai Baar-Ha Tuj Ko,
Tu Meri Her Ik Arzoo May Hai,
Tu Mery Saath Hai To Lagta Hai Aisay,
Ik Ujala Sa Meri Rooh May Hai,
Juda Khud Se Karun To Kaisy Karun,
Teri DOSTI Gardish-E-Lahoo May Hai
Jab wo samney aati hai

sansein ruk jati hein
ankhein jhuk jati hein

jab wo samney aati hai

Dahrkanoon mein bas jati hai
sansoon mein rach jati hai

jab wo samney aati hai
Fasle tu bus kamzor dil log’n ke liye hi,
Khoof aur be-chaini hote hai…
Aik zameen per millon aur kooso’n ki doori..
Muhabbat ko shikast nahi de sakti..
Hijer jitna bhi kada ho..
Aur doori jaisi bhi doori ho…
Chahtein aur siwa ho jaya kartein hai..
Gaihri aur mehrbaan raato’n ki qasam…
Main chahe jahan bhi ho,n
Aik aise khoole darwaaze ki maanind ho’n..
Jis ki daihleez per tumhaare qadam likhe hoye hain..
Aur tum jahan bhi ho…Mere liye kisi bhi mushkil ghadi mein..
Merey Humsafar Ka Yeh Hukum Tha
Keh Kalaam Us Se Main Kam Karon

Merey Hoont Aisey Siley kEh Phir ..
Meri Chup Ne Uss Ko Rulaa Diyaa !!
May kasay us shaks ko rula saktA hon Dosto..

Jis shaks ko mai ne khud ro ro kr paya tha...
Pehli Si Wo Ulfat Na Rahi ,

Ab Doston Mai Rasm-e-Mohabat Na Rahi ,

Muddat Se Meri yaad Se Ghafil Hai Dost mera ,

Shayad ab Usko Meri Zarorat Na Rahi
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!
Ab Dekhty Hyn Hum
Dono Juda Kese Ho
Paye''n Gy

Tum Muqaddar Ka Likha
Kehty Ho, Hum Dua Ko
Aazmaye''n Gy ...