Zameen par hai magar

Zameen par hai magar
Zameen par hai magar aasman jaisi hai
Woh narm narm see larki chattan jaisi hai
Meray haroof bhi jhootay hain meray jazbay bhi
Meri kahani bhi saray jahan jaisi hai
Yeh shaam mil k bicharnay ka ista-ara hai
Yeh raat hijar k kalay nishaan jaisi hai
Hawaein roz bhujaati hain khuwahishon k diye
Yeh zindagi bhi andheray makan jaisi hai
Mein apnay sath hoon ya koi dosra hai ZIA
Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jaisi hai
  

Jun, 05 2010     427 chars (3 sms)     3102 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tere wahdoon pe hum jite rahe
Aur tu ne wahda toor deya
Phir akhir wohi kiya tu ne humain
Beech bhanwar main choor deya
yaad aya tah bicharna tera
phir nhin yaad ke kya yaad aya

jub koi zakham bhara dagh bana
jub koi bhool gaya yaad aya

ye mohabat be hai kya rog faraz
jiss ko booley wo sada yaad aya!!!
Har khushi me kuch kami rahegi,
Aankhein thodi shabnami rahegi,
Zindagi ko aap kitna hi sanwariye,
Bin hamare koi na koi kami to rahegi
bina meray adhooray tum tumhara pyar bhi aadah
humaray bin tumhare pyar ka aagaaz bhi aadah
Yahan Mazdur Ko Mernay Ki jaldi Youn B hai Mohsin...

K zindagi Ki KAshmakush Main Kafan Mehnga na Ho Jaey...
…Likha tha naam tera hath ke lakeero’n mai’n
Teray baghair kahaa’n jaa kay hath phailaatay
Tum Ne Kaha Tha
Wapas Kardoo Sare Khat Or Toofeey
Wapas Kardoo Sab Taswerain
Soo Loo Hum Ne Wapas Kar Diya
Sare Khat or Taswerain..
Phir Bhi Teri YAAD Satayee
Ek PAAL mujh Ko Nend Na Aayee..
Shayad Tum Ko Eleem Nahi
Zahain Ka Album Hota Hai
Fursaat Ho To Aaoo Kisi Din
Zahain Ka Album Khale Kar dOOoO
Meri Ankhain Nend Se Bhaar doOoOo,,,,,,,,,
mujhe maloom hai tu mujhe har gunha k baad bhi bakhash de ga khudya..

kuch asa kar khudya k mian gunaha na kero or tujhe pasand aajao..
Rat gehri hai dar bhi saktey hain
hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain
aap jo roothey to itna bhi na soocha
hum to pagal hain mar bhi saktey hain
udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri Ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko Talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha
Raat Ka Aakhri Pehar Tha...!

MuJh Se Chaand Ne Kaha''

Humnasheen Alvida''

MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai''

Kal Milain Ge isi Jagah''

Men Sun Kar Muskura Diya''

Us Ko Batla Diya''

Jaanay walay Lout''tay Nhi''

Tum Nhi aao Ge''

MuJhe Hai Yaqeen''

Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya''

Aur Kehnay Laga''

Tum Se Wada Karoon''

Phir Poora Na Kroon''

Aisa Mumkin Nhi''

Sun Aey HumnasheeN''

Men CHAAND Hoon Insaan Nhi.