Aaj ke daur mein aye

Aaj ke daur mein aye
Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
  

Jun, 07 2010     397 chars (3 sms)     2805 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wafa Kisi Pe Farz Tou Nahi Lekin

Jo Ho Sakey Tou Humara Khyal Rakhna
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi
Sath Chalny ko Chalay Thy Dost Dushman sb ''faraz''

meri manzil Tak ka Saathi Sirf mera Saya Nikla.
mohabbat ki battian
mohabbat se kerna
mohabbat ka wada
wafaoun se kerna

mohabbat dua hai
dua hai mohabbat
diloun se nikaltie
sada hai mohabbat

ansoo ka qatra
zubaan hai mohabbat
ye dill janta hai
ke jaan hai mohabbat
ye jo rishton k tarazu hain sabhi jhoote hai..,

is dikhaaway ki mohabat se nikaalo mujh ko....!!!
meri mahobbat ko na thukraana ham sirf tum par marte hai ye zindege tumhare bin kaati na jaaye tumse juda hone se pahle meri umr tumhe lag jaaye...
Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
mein bewafa ho ghaya to ghila na karna,



aur kabhi mujh ko khud sey judda na karna
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
itni si baat pay dil ki dharkan he ruk gai''

ik pal jo tasawwur kia us ke bina jeenay ka
Jiski jhankar mai dil ka aram tha wo tera naam tha...
Mere honto pe raqsan o ek nam tha wo tera naam tha...
Mujh se mansoob thee dastane kaee,
khubsurat magr jo ilzam tha wo tera naam tha...

Subha se sham tak jo meray pas thi wo teri aas thi,
sham k baad jo lab-e-bam tha wo tera naam tha....
Ham rait pe naam kabhi likhte nahi ,
Rait pe likhe naam kabhi tik''te nahi ,
Log hamai pathar dil kehte hain ,
magar ,
Pathar pe likhe naam kabhi mit''te nahi . .