ye Dil bohat udas

ye Dil bohat udas
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do
  

Jun, 07 2010     466 chars (3 sms)     14443 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere Jism Se Uski Khushbu
Aaj Bhi Aati Hy "Mohsin"

Main Ne Fursat Mein Kabhi
Dil Se Lagaya Tha Usay
Aisay Ghar mein Reh raha hon Daikh lay Be-Shak Koi.. . .


Jis k Darwazay ki Qismat mein Nahi Dastak Teri.
Yeh Duniya Ho, Ya Wo Duniya ,,
Ab Khuwahish Duniya Kon Karey....
jo Agg Lagaee Thi Tum Ne,,
Us ko toh Bhujaya Ashko''n Ne...
jala rha hun apnay lahu sy dil k chrag..!

na jany kitni mohabbat hy roshni sy mujhy..!
Agr woh pochein tou un se kehna un ka aashiq basta tha yahan

Dekhna un ko woh pepal ka peid aur kehna gaaney woh tanhai mein gungunata tha yahan.

Le jana un ko darwazey pe aur kehna intezaar woh kiya karta tha yahan.

Phir rakhna ungli dil pe aur kehna.. Shikayat karta tha ke dard hota hai yahan.
Koi Baat Esi Kiya Karo,Koi Lafz Esa Kaha Karo
Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa,Koi Shair Esa Padha Karo
mohsin tum ny dekha hai kbi sehraa mei jhulasta hua darakht,

isi tarah jeety hain wafaoon ko nibhany waly.
Tere tan ki khushboo se manoos hon mein,
Magar ye achanak,
Ye anjani Khushboo ka madham sa jhonka,
Teri Khushboen mein mad Gham hua ha,
Mujhe is ke bare mein kucha na batao,
jao.....
Ye kapray badal kar to aao,
Mere lub ki atni hi junbish bohat ha,
Ke pehloo mein tere
Na ab soo sakon ga......!
Kisine Na Samjha Hume
Kisine Na Jaana Hume
Aapse Ki Mohabbat
Aapne Bhi Na Pehchana Hume
apna shewa hai aandheron main jalate hain charagh.

unki shazish hai zamane main yonhi raat rahe.
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
Vishwas ki ek dor hai ye mohabbat,

Har dilki majburi hai ye mohabbat,

Na mano to kuch bhi nahi aur maano to,

Khuda ki bhi kamzori hai ye mohabbat........;->