Muhabbat Main Maine

Muhabbat Main Maine
Muhabbat Main Maine Kya Kuch Nhi Luta Diya,


Unko Pasand Thi Roshni Or Hamne Khud Ko Jala Diya....
  

Jun, 02 2010     104 chars (1 sms)     2556 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha
galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha
band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di
ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha
Kuch bikhre sapne aur ankho me nami hai.

Ek chota sa aasman aur umido ki jami hai.

Yu to bahut kuch hai zindgi me

Sirf jinhe chahte hai unki kami hai.
Meri Sab Koshishen Nakaam Thi Un Ko Manane Ki

Na Jane Kahan Say Seekhi Hain ZAALIM Ne Adayen ROOTH Jane Ki
Pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai Karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur Aap puchte ho ki hum par marta kaun ha
aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam

ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
Uska Her Zakham Bina Mein Takleef Seh Gaya

Chour K Wo Gaya Aur Mein Akela Reh Gaya

Mohabbat K Asool Bana Gaya Kuch Aisy

K Bewafai Usne Ki Aur Mujhko Bewafa Keh Gaya
ye larki to phool se mukhtalif hay
aadhi mohabbat mere saamne
or aadhi mohabbat muj se chop kar karti hay
aadhi raat ko aadhe chaand se
baten karti rehti hay
wo baten jo mujh se karte
uske hont or uski saansen ruk jati hain
uski palken jhuk jati hain
aadhi raat ko takiye ke neche
rakhi meri tasveer ko dekhti rehti hay
phir khud se sharma kar
takiye me mu chuppa kar deer tak hansti rehti hay
Ae kalam zara ruk k chal,
kya haseen muqam aya hai,
kuch der thehar ja,
tere nok ke neeche mere dost ka naam aya hai..
jb ksi bhule hue dukh pe nazar per jae
ashk ho jate hn aankhon se rawan sham ke bd
Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nhi Krti,
Mohbt Main Bhi Krti Hoon Magar Charcha Nhi Krti,
Jo MuJ Se MiLne Aa Jaye Main Us Ki DiL Se Khadim Hoon,
Jo Utth K Jana Chahay Main Usey Roka Nhi Krti,
Jisey Main Chhor Deti Hoon Usey Phir BhooL Jati Hoon,
Phir Us Hasti Ki
Janib Main Kabhi Dekha Nhi Krti,
Tera Israar Sir Aankhon Pe K Tum Ko BhooL Jaon Main,
Main Koshish Kr K Dekhoon Gi Magar Waada Nhi Krti
har bicharnay walay ki tarah
us nay bi yahi dua di mujay
sada khush raho muskraty raho
lakin ......
wo kia janay
yadoon kay jaal ma phasnay walay
muskura to saktay hain
khush nahi reh saktay