Mere be-rabt

Mere be-rabt
Mere be-rabt khayalat me kya rakha hai!

Main to pagal hon, meri baat me kya rakha hai!

Baandh rakha hai teri yaad ne maazi se mujhe!

Werna guzray huwe lamhat mein kya rakha hai!

Tu jo mil paye to aur khuda se kya maangu!

Tu alag ho to meri zaat me kya rakha hai.
  

Jun, 03 2010     278 chars (2 sms)     2805 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
dard kafi hai zindagi ke liye
maut zaroori hai zindagi ke liye
kaun marta hai kiske liye
hum toh zinda hai sirf app jaise dost ke liye
iss se behtar kya saza thi jo wo deta mujh ko,,,

amir

kar gya mujhe tanha magar apna kr k..
Dewana hai tere naam ke is baat sa inkar nahin kasa kaha humha aap sa pyar nahin kuch tu kasoor aap ki adaa ka ha hum aakla tu gunhegar nahin
Aansuo''n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi
Na Zindigi Kay Lia na Mout Kay lia Waqar rukta Nehe Kise Kay lia,
Qadam do Qadam sabi sath chaltain hain sath chalta nehe kio Zindigi Bhar Ka lia
Tum Bhi Mujhe Chaho Gay Ek Din Dekhna
Haan Pachtao Ge Ek Din Dekhna
Iss Ishq NE Mujhe Jalaya Hai
Tum Bhi Jal Jao Gay Dekhna
Waqt ki adalat me
Zindagi ki surat me
Ye jo tere haatho me
Ek sawaal nama hai
Kisne ye banaya hai
Kis liye banaya hai
Kuch samajh me aaya hai
Zindagi ke parche ke
Sab sawaal laazim hai
Sab sawaal mushqil hai....
Mujh se Wo Aksar Kehti Thi.

Meri Bus Itni Khuahish Hai.

Kuch Aisay Pehchani Jaon.

Aap K NAAM se Jani Jaon.
Ajeeb Hijar parasti Thi Uski Fitrat Mein
Shajar Ke Tooty Patty Talash Kerta Tha
Qayyam Kerta Tha Wo Mujh Mein Soofyon Ki Tarah
Udas Reh Ker Goshay Talash Kerta Tha
Tamam Rat Wo Zakham De ke Apne Pairon Ko
Mere Wajod Ke Raizay Talash Kerta tha
Duain Kerta Tha Ujray Huy Mazaron Per
Bary Ajeeb Sahary Talash Kerta Tha
Bhulaye Kyun Aziyat Pasandiyan Uski
Khusi K Dhair Mein Sadmay Talash Kerta Tha
ansoo palkon se choot jate hein,

jub sahare toot jate hein,,

kuch smajh mein nai ata,.

hum kehte b kuch nai!!

per log hum say rooth jate hein.
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.