Ranj-o-alam..
Dard-o-gham…
Hasrat-o-yaas…
Mun ki piyaas……..
WahshataiN…..tanhaii.yaN
AansuoN ka bahr-e-bekaraN
Bekali-o-bebasi….
Dard-e-dil aur bekasi……
Kitni soghataiN dai gia…..
Mujh ko wo meraa faisla
tujhe main bhool tu jata.
magar tere taoluq se.
jo chahre samne aye
jo raste samne aye
jo lamhe samne aye
jo rishte samne aye
unhain kase bhulta amin.
tujhe kase bhulata main.
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!