Sara hi shehar us k

Sara hi shehar us k
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
  

Jun, 01 2010     92 chars (1 sms)     3275 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Phir Wafai''n Bhi Kro
Gy Tou Koi Na Pooche
Ga ''Faraz'' !!

Ye Tere Saare Sitam
Faqt Mere Marr Jaaney
Tak Hyn !!
Ab Kisi Aankh Ka Jadu Nahi Chalta Mujh Per
Wo Nazar Bhool Giye Hai Mujhe Pathar ker Ke
Pochna Chahon Uss Nigha-E-Dil Se
Kis Ko Aabad Kia Mujh Ko Berbaad Ker ke
koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!
Sambaal Rahkhe Hai Mein Ne Jo Sitaam Diye Tu Ne,
Tere Zulmoon Ko Dil Mein Samaya Hai Kis Ne,
Tere Labhoon Pe Har Gari Naam Rahta Hai Mera,
Bata Hontoon Ko Tere Ab Silaya Hai Kis Nee
***ADA E ISHQ***
Har lamhay ko is tarhaa main taay kar jaoon gi
Har ik pal mai tujhay apnay qareeb laoon gi

Mehsoos bhi na ker paiy ga tu mujhay humdum
Main teri sanss mai iss tarhaa bass jaoon gi

Guzarty hovey lamhoon ko ik yaad banatay huwey
Main teray her pal ko is tarhaa mehakaoon gi

Gar bhool na chahay bhi tu mujhay aaiy humnasheen
Jatay huwey teray chehray pay apna akass chor jaoon gi

Zindagi mein aisa lamha bhi hoga socha na tha
Paa ker uss ko main haadh se hi guzar jaoon gi.
Raat hogi to chand bhi duhai dega
khwabo me tumhe vo chehra dikhai dega
ye mohabbat hai Zara soch ke kerna
ke ansoo bi gira to sunai dega
Sahil Ki Geeli Rait Pr
Main Ny Us Sy Poocha,


Tera Mashgala Kia Hai?


US Ny Palkain Jhuka Kr


Muskura Kr,



Mera ''Naam'' Likha Aur Mita Dia...!
Hazaron Tukery Kiye Us Ne Merey Dil K Magar Faraz..



Khud Hi Ro Para Her Tukrey Per Apna Naam Dekh Kr....!!!
Zindgi ki rah ma rasty badal jaty hen,

waqt ki andhi ma insan badal jaty hen,

sochty hen tumhe itna yad na karenlekin,

Ankh band karty he irady badal jaty hen
jhalak
ankho
Ankho Se Door Dil Ke Qareeb Tha..
Mein Us Ka Wo Mera Naseeb Tha..
Na Kabhi Mila Na Juda Hoa..
Rishta Hum Dono Ka Kitna Ajeeb Tha..
Apne asool yun b kbhi torne pare,
uski khata thi hath mjhe jorne pare...

Aya na jb qarar dil-e-beqara ko,
tu yadoon k rukh mjhe tmhari taraf morne pare...

Unko tu meri yad b na i bhool kr,
apne parae jn k liay chorne pare...

Wo shakhs bara ba-asool tha,
apne asool jis k liay mjhe torne pare.......
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...