dareeja yad ka khulty

dareeja yad ka khulty
dareeja yad ka khulty he sab kch lot ata hai
purany manzaron ko ankh phir sy dekh pati hai
teri tasveer banti hai teri awaz ati hai
galt hai yeh!!
k koi guzy kal my jee nhi sakta
sarabon my bany daria sy pani pe nhi sakta
MUJY DEKHO.............
  

Jun, 05 2010     252 chars (2 sms)     2484 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai,

Kuch tanha par kuch khaas guzri hai.

Na neend aayi na Khwaab koi,

Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai.
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.
Hasne Ki Chah Ne Itna Mujhe Rulaya Hai


Koi Hamdard Nahi, Dard Mera Saaya Hai
meri baat kaysay wo maanta
mera dard kaysay wo jaanta
wo tu khud fana kai safer main tha
usay rokna bhi muhaal tha
usay apnai Farda ki fiker thi
wo jo mera waqif-e-haal tha
wo jo us ki subha-e-urooj thi
wohi mera waqt-e-zawaal tha
wo mila jo sadyoun baad bhi
tu merai lab pa gilaa na tha
usay meri chup nai rula diya
jisay guftugoo pa kamaal tha!!
wo tu mujh sai mil k tha ro diyaa
faqat itna hi mujhai keh saka
jisay maanta tha main zindagi
wo tu sirf wehm-o-khayal tha..!!!
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo diya hai.
Suna hai asar hota hai baaton me,

tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.

humse ruth kar jaoge kahan,

tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
Pyar kise kehte hai yeh hum nahi jaante....
Is zindigi ko ab hum apna nahi maante....
Gam itne mile hai ki ab ahsaas nahi hota.....
karega koi pyar to ab aitbaar nahi hoga....
MAIRE CHAROON TARAF ANDHAIRA HA
DAIKHTA HOON MAIN ROOSHNI KI TARAF
TAIRE JAISA JO MIL GIA KOI
LOOT AAOWN GA ZINDGI KI TARAF
Meri jaan se bhi pyare ho tum,
mere tamam hasraton ki manzil ho tum,
mere dil ki har khushi ho tum,
barson tarsi jis pyar ko me,
us pyar ka arman ho tum,
meri jaan se bhi pyare ho tum...
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Teray jesi aankhon walay jab sahil pe atay hayn........

Lehrain shor machati hain, lo ajj Samnuder DOOB gaya..
Khushbo Na Gai Ghar Se Na Yaadon ki Be-Rukhi MOHSIN


Zaalim ky Saaray Nakash BARAY Paye-daar Thay