Ham rait pe naam kabh

Ham rait pe naam kabh
Ham rait pe naam kabhi likhte nahi ,
Rait pe likhe naam kabhi tik''te nahi ,
Log hamai pathar dil kehte hain ,
magar ,
Pathar pe likhe naam kabhi mit''te nahi . .
  

Jun, 04 2010     167 chars (2 sms)     2971 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon
Kon Kehta Hy k Nafrato''n Main Dard Hy ''Faraz''
Kuch Mohabbate''n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !
dilon se khelne ka hunar humain ata nahi isi liay ishq ki bazi hum har gaye meri zindgi se shayad unhain bahut payar tha isi liay muje zinda hi maar gaye .
hum ne kis pal nahi manga khuda se dua main tumhain..

tumhe sonpeny se pahle khuda ne azmya hai bhoot..
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
meri sarKashi B Thi munfarid
meri aajzi B Kamal thi,



main Ana Parast bala ka tha,
So Gira to Apne hi Paon main.
Dil Hii To Toda Tha Kisi Ne Aye Mere Hakeem
Kyon Hua Ke Zakhm Mera Ye La-Dava Nikla

Aaj Hai Apnii Bulandii Par Tujhe Kitnaa“ Naaz“
Isii Zameen Se Yaad Rakh, Hai Aasmaan Nikla...
Aapki yaad aaye to dil kya kare,

Yaad dil se na jaye to dil kya kare,

Socha tha sapno me mulaqat hogi,

Magar nind hi na aaye to hum kya kare
nigahoon se qatal kar dalo,
na ho takleef dono ko,"''GHALIB"''

tumhain khanjar uthaney ki,humain gardan jhukaney ki....
Woh waqat woh lamhe Hasin honge,
Duniya mein hum khush Naseeb honge,
Dur se jab itna yaad karte Hain aapko,
Kya haal hoga jab aap kareeb honge.
Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete
Dard Dil Main Utaar Leta Hoon
Tere Gham Ko Sanwaar Leta Hoon

Hadh Se Barh Jaye Jab Ye Betaabi
Naam Tera Pukaar Leta Hoon

Jeeney Marne Ka Lutf Kia Kehne
Ye Maza Bar Bar Leta Hoon

Waqt Muskil Ho Jitna Bhi Mujh Par
Main Tou Hans Hans K Guzaar Leta Hoon

Baant Ker Chaaon Apni Basti Main
Dhoop Khud Par Sahar Leta Hoon

Jo Mitaye Na Mit Sakain
Zakhm Wo Yaadgaar Leta Hoon