Main soun to khawabon

Main soun to khawabon
Main soun to khawabon main ho tum
Main jagoon to mere khyalon main ho tum

Main nazar uthaoon to meri ankhon main ho tum
Main chaloon to meri manzil ho tum

Main likhoon to mera qalam ho tum
Main parhoon to meri ghazal ho tum

Main gungunaoon to mera geet ho tum
Main sunaoon to meri dastaan ho tum

Main dhoop main hoon to mera saibaan ho tum
Main raat main hoon to meri sahar ho tum

Main sochoon to mera khayaal ho tum
Main mangoon to meri DUA ho tum
  

Jun, 07 2010     470 chars (3 sms)     2812 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jub to khush ho to zeest ka
Her lamha muskarata hai
Mari maan kay aangan ka
Her phool khil sa jata hai
Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti
Na Adhi hoon na puri hoon.

meray hamdam


HaQeeQat hAy mAin tere bin adhuri hoon
bicher ker juda tou nahi ho gaye hum
kahin be-wafa tou nahi ho gaye hum

jo milna bhi chahain tou ab mil na payein
youn be-aitnaa tou nahi ho gaye hum

magar phir bhi khilqat hamain poojti hai
agarcha khuda tou nahi ho gaye hum

kharay hain azal se sag-e-reh ki surat
kahin rehnuma tou nahi ho gaye hum

teri yaad aati hai fursat mein aksar
tere mubtila tou nahi ho gaye hum
Shab-E-Firak Main Jo Maine Kal Neend Se Pocha
Too Kion Nahin Aati Mujh Ghareeb K Pass

Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara
Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb K Pass
Kartay hein log maal jama kis lye yahan...

Silta hai aadmi ka ''KAFAN'' jaib k baghair . . . !!!
Door reh kr pas rehny ki adat hy.

Yad ban kr ankho sybehny ki adat hy.

Kareeb na hoty huey b kareeb pao gy

.Mujy ehsas ban krrehny ki adat hy.
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.
Kiya Tum Bhi

Kiya Tum Bhi
Aansoo Rokny Ki Koshish Mein
Palkyn Teez Teez Jhapakty Ho
Aur
Kesi Sandesey Ki Aas Mein Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
Kiya Tum Bhi
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey
Aur
Door Kahin Bajny Waly Almiyaan
Saaz Ki Aawaz Sey
Aafsurda Ho Jaty Ho
Lab kuch bhi kahe is se hakiqat nahi milti.
Insan ke such jhoot ki pehchan hain aankhain.
Asman ko need aaye to kahna sulaau kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
kahan Sagar mein lehar aaye to chupao kahan Jab teri yaad aye to jau
kahan!!!
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../