aaj wo besabub ro para mahfil main.

aaj wo besabub ro para mahfil main.
aaj wo besabub ro para mahfil main.

amir

aj phir koi na koi badnaam hua hoga mafil mian.
  

May, 27 2010     98 chars (1 sms)     2999 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us shakhs k chehry main tabani bhi khoob thi

Us shakhs ki baton main rav''vani bhi khoob thi

Us shakhs se jura mera qissa kamal tha

Us shakhs se mansoob meri kahani bhi khoob thi
Sabne Kaha Dosti ek dard hai,
Humne kaha dard kabul hai,

sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
humne kaha teri dosti ke sath marna kabul hai...
sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...
kar raha tha tufaan mere azaam ka tawaaf



log samajte rahe kashti banwar main hy
Ehsaas Na Ker In Jazbo''n
Ka Nazro''n Se Gira De
Beshak ... Lekin !!!

Jeena Bhi Mujhy Dushwaar
Lagey, Itna Tou Nazar-Andaaz
Na Ker ... !!!
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Mujhy ilam Tha Shikast Mera Naseeb Hai..

Tu UmeedwAr Tha Jeet Ka Tera KYA Bana..
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Jigar ki aag say iss dill ku jalta daikhtay jao
Luti jati hay armanon ki dunya daikhtay jao

Issi din k liey bolo tumhain kya ham nay chaha tha
Keh gam barbad hun aur tum tamasha daikhtay jao
mehkati batoon se...
Ulajti sansoon se...
Sarakte aanchal se...
Aankhnon ke kajel se...
Teri muskurahat se...
Dil ki chahat se...
Gulabi gaalon se...
Haseen khayalon se...
Teri tusveer se...
Apni taqdeer se...
In sab se pocha hai main ne
kia wo mera hai jise chaha hai main ne
wohi hath ksi aur k hathon mein hai to ajeeb lagta hai
mohsin
jin haathon ki choriaa kabi totti thi mery haathon mein...
Zahid Magan hai KHUDA Dhondne main...

Yahan Aadmi he KHUDA ho gaye hain...

Aati nahi thi Jinhen Badshahi...

Wo Badshah b Gada ho gaye hain...

Ab sadgi pe hanse ga zamane...

Yahi soch k be sada ho gaye hain...

Jo log the kal Misaal-e-Zamana...

Wo ab Misaal-e-saza ho gaye hain...

Haq Dosti k Nibhate Nibhate...

Haq Dushmani k Ada ho gaye hain...

Duaa ki Tarah the Labon k Tabasam...

Kuch din se ye Bad Duaa ho gaye hain.../