Ye wafa ka silaa hai

Ye wafa ka silaa hai
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki woh dekh rahe hai kinare se,
Hum doob bhi rahe hai to koi baat nahi
  

Jun, 03 2010     172 chars (2 sms)     3211 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni haar main kitna sakoon tha ''faraz''

us Shakhs ne jb Galy Lagaya Jeetnay k Baad.
Kia Rakha Hy Apni
Zindagi k Iss Afsaney
Mein "GHALIB"

Kuch Guzri Yaar Bananey
Mein Kuch Guzri Yaar
Bhulaney Mein !!!
Sab khaloos baatoun mein sab karam khayalon mein,
Bas zara wafa kam thi terey shaher waloun mein..

Pehli baar nazroun ney chaand boltey dekha,
Hum jawab kya daitey kho gaye sawaloun mein..

Raat teri yaadoun ney dil ko iss tarah chera,
Jaisey koi chutki ley naram naram gaaloun mein..

Youn kisi ki aankhoun mein subha tuk they hum,
Jis tarha rahey shabnam phool k piyaloun mein..

Meri aankh k taarey abb na deikh pa''''o gay,
Hum raat k musafir they kho gaye ujaaloun mein..
Aankh wo chahat hai jis mein

dil ki zubaan hoti hain,

Sachi chahat to bejuban hoti hain,

Pyar main dard mila To ghabrana kaisa,

Dard se chahat aur jawaa hoti hai.
Mera Khamosh Reh Kar Bhe Unhain Sab Kuch Suna Daina...
Zuban Say Kuch Na Kehna Daikh Kar Aansu Baha Daina...

Nashiman Ho Na Ho Falak Ka Mashghala Thehra...
Kay Do Tinkay Jahan Par Daikhna Bijli Gira Daina...

Main Mujrim Hoon Mujhay Iqrar Hai Jurm-E-Muhabbat Ka...
Magar Pehlay Khata Par Ghor Kar Lo Phir Saza Daina
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy...


agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy...?
Dil se dil ka rabta acha lga.Aj usko sochna acha lga.Jaty jaty akhri lamhat me.Mur kr uska dekhna acha lga.Zindgi bhar us ne jo kuch b kia.Uska hr ek fesla acha lga.Hr tarf thi bewafa logo ki bher.Bus hmko ik wo hi bawafa acha lga.Keun mohabt ho gai us se.Kya batyen hmko us me kya kya acha lga.
mili hawaon mai urrny ki wo saza yaro

k mai zameen k reshtoon say kat gya yaro

wo bekhyal musafir, mai rasta yaro

kahaan tha bus mai mery us ko rokna yaro

tmam shehr hi jis ki talash mai gum tha

mai kis say pochta us k ghar ka pta yaroo
Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye
hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
Agar Mohabbat Py Bharosa Rahey Na Dunya Mein

Tou Koi Shakhs Mohabbat Ka Hosla Na Karey

Suna Hai Uss Ko Muhabbat Duaei''n Deti Hai

Jo Dil Py Chott Tou Khaye Magar Gila Na Karey
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aankho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
Aankhei''n moond leta hn !!!!