zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain
Ab kisi se koi gila hi nahi
Jis ko Chaha tha woh mila hi nahi
Yeh to sab khel hai Naseebo ka
Apni Qismat main woh likha hi nahi
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha
Aisa bichrra ke phir mila hi nahi
Jaa chuka hai woh door yun hum se
Ab milne ka koi aasra hi nahi
Toot Ker Zara Dekhoo
Tum agar Bikher Jao
bebasi Mein Ghir Jao
Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bhula Dena
Mein Tumhein Sanbhal Longa
Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalny Ka
Ek Hunar Sikha Doonga
Tumko Hosla Donga
Aur Jab Tum Sanbhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao
Mujhko Youn Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena...
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.