Hum Se Maiyat Par T

Hum Se Maiyat Par T
Hum Se Maiyat Par Teri Aaya Na Gaya
Kaliyon Ka Haar Tumhari Kabr Par Bichaya Na Gaya
Hum Toh Khud Tumhari Kabr Ke Sath The
Isliye Hum Se Apna Chehra Tumhe Dikhaya Na Gaya
  

Jun, 03 2010     173 chars (2 sms)     2538 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Q Meri Raato''n Main Mjhe Betaab Kr Jate Ho

Khwabo''n Main Aa Ker Meri Saanso''n Ko Mehka Jate Ho

Kabhi Tou Mjhe Apni Banho''n Ka Sahara Do

Hamesha Apni Yaado''n K Sahare Chaodh Jate Ho
Mohabbat her insan ko azmati hai

kisi se rooth jate hai kisi per muskurati hai

Mohabbat khel hai asea

Kisi ka kuch na jata or kisi ke jaan jati hai.
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Na lena naam ay qasid faqat itna hee keh dena
Jinhein tum bhool bethay ho wo aksar yaad kartay hain
Be qarar tanhaiyon ka silsila reh jayega,

tere mere darmiyan bus Ik khala reh jayega,

ashq beh jayenge sarey dukho k sailaab main,

aur koi paniyo mai jhankta reh jayega,

mujhko mere humsafar aisa safar DAR paish he,

Rasta kat bhi gaya to fasla reh jayega,

log so jayenge khamoshi ki chadar ourh kar,

chand sune angano mai jagta reh jayega,

Jo kabhi us nay parhi thi mujhse mang kar.

naam mera un kitabo mai likha reh jayega . . .
Lamhay judai k bekarar kartè hain.

Haalat meray mujhay lachar kartè hain.

Ankhain meri parh lo kabhe.

Hum khud kaisay kahen k hum aap ko kitna yaad kartè hain.
laghzishon se mawara to bhi nahin ,main bhi nahin
done bande hain khuda to bhi nahin main bhi nahin

maslehet ne ker diya dono main peda ikhtalaf
werna fitrat ka bura to bhi nahin ,main bhi nahin

mukhtalif samton main dono ka safar jari raha
aik lamhe ko ruka to bhi nahin ,main bhi nahin
Tann Pe Peela Jorra Pehnay
Mann Mai Aas Milan Ki Le Ke

Us Ne "Sirgoshi" Mai
Sirf Itna Kaha..!!


"Mujhay Rukhsat Karnay Aa Jana...Janaa''n..!!
Har pal ki dostika irada he apse

Apnapan hi kuch zyada he apse

Na sochenge sirf umar bhar keliye

Kayamat tak sath nibhayenge ye wada he apse
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..