Kitna Saroor Raat Ki

Kitna Saroor Raat Ki
Kitna Saroor Raat Ki Tanhayioun Mein Tha
Chup Tha Ke Jese Chaand Bhi Ruswaiyoun Mein Tha
Sab Ja Rahe The Apne khudaon ko Poojne
Tab mein Tere Khial Ki Gehraion Mein tha
  

Jun, 03 2010     172 chars (2 sms)     2270 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aag Dil Me Lagi Jab wo khafa hue
Mehsoos hua Tab,
Jab wo Juda hue

Karke wafa Kuchh DE Na Sake wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb wo Bewafa hue.
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
khushnuma lamhon ko kaise ghrahan laga diya tumne
khilkhilaati masarton ko kaise tanha bana diya tumne
tumhe to sab kuch tha pata kya kuchh hain hone waala
kuchh na bataya raaz apna benoor chhod diya tumne
hum to laaye the jalti mashalon ki lou dhundkar
kar daala andhera mashalon ko bujha diya tumne
mousam ki tarah rang badalte rahe tum baar baar
jab bhi jaanna chaha chehra laga diya tumne
tumhara har gunaah chhupa liya dost bankar
kahe kise humhari vafa ka achha sila diya tumne
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
tere khoobsoorat aankhon mein aansoo achche nahin lagte
chaahe jitnaa bhi roye but kabhi sachche nahin lagte
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hy
Hum kyon yahan badnaam hai
zamaane ki humne dillagi dekhi

Waadon par bharosa abh kyon rahe
humne azeezon ki wada-khilaafi dekhi

Ek hum hai jo lut gaye tanha
Warna duniya bhar ki dosti dekhi....
Meri chahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -
umer bhar karte rahe talash manzil ki...

dhool chahre pe thi hum aiana saaf karte rahe.
Ham rait pe naam kabhi likhte nahi ,
Rait pe likhe naam kabhi tik''te nahi ,
Log hamai pathar dil kehte hain ,
magar ,
Pathar pe likhe naam kabhi mit''te nahi . .
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia