Kafan na Pehnao mujhe

Kafan na Pehnao mujhe
Kafan na Pehnao mujhe abhi Muskuraana baaki hai,

Janaaza na uthao mere kisi ki aana baaki hai,

Ke Nazar pher lo Farishto abhi mujse,

Abhi to uska hum se Nazar milaana baaki hai.
  

Jun, 03 2010     186 chars (2 sms)     2972 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wafao''n Main Meri Itna Asar To Aaye

Jise Dhondti Hai Nazar Wo Nazar To Aaye

Hum Ajayenge Palak Jhapkane Se Pehle

Ap Ne Yaad Kiya Yeh Khabar To Ayee
Naiey Dino''N Main Tumharay Qareeb
Hum Rahain Na Rahain
Bhool Jana Woh Sab Kahi Baatain
Bhool jana woh Chandni Raatain
k Zindagi K Sab Musamoo''N Main
Aik Mausam Judai Ka Bhi Hai
Sab To Bichray To Mil Nahi Paatay
Zindagi ko Qareeb Se Dekho
Sab Juda Hoker Mar Nahi Jaatay...!
Nigah Azal sy pyasi ha or kuch b nhi,
Sari Dunia hi khafa c hy or kuch b nhi,

Gham-e-jana hy Na gham-e-dunia"

Aik bay naam udasi hy or kuch b nhe.
usey kehna ke meri dosti ko is tarha se na aazamy wasi.

ke us ki aankhen hi taras jayen mujhey dekhney ke liye...
Kitne Pas Or Kitne Door HAin Hum
Khuda Hi Janta He K Kitne Majboor Hain Hum
Saza Ya ha k Mil Nahi Sakte Ap Sa
Ghuna Ya Ha K BeQasoor Hain Hum..............
mujhe hadson ne mita mita kar khoob haseen bana diya!

mera dil dulhan ka wo hath hai jo mehdiyon se racha hua!
Mere sath rehta tu mera hota
Tery dil me kisi ka na basera hota
Ban k jugnu mai deta roshni tujko
Meri ankhon me kitna bhi andhera hota
Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe,

Main Kehkashan Mein Sitaron Ko Bhi Chhu Paungi,

Main Dard-O-Yaas Ki Duniya Pe Fateh Paungi,

Tere Dil Mein Tere Jeevan Mein Sama Jaungi,
Tu Agar Sath Mera De To Bharosa Hai Mujhe.........;->
Haseen kitna zeyada ho gaya
Woh jab se aur sada ho gaya

Chalo hum bhi mohabbat kar hi leen ge
Agar us ka irada ho gaya

bhula doon ga use agle janam tak
Mera us se yeh wahda ho gaya

Ghari bhar us ki aankhon main utar kar
Samandar bhi kushada ho gaya

Bicharne ka use bhi dukh hay shayad
K ab to woh bhi adha ho gaya
Chalay aao Kainaat baant letay hain.....
Tum meray or Bakii sub Tumhara
Muqaddar Main Likhi Koi Baat Ho Tum

Taqdeer Ki Ek Soghat Ho Tum

Kar K Dosti Tum Se Mehsoos Ye Hua

Jaise Sadiyo’n Se Yunhi Mere Saath Ho Tum
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.