Phir chaand niklaa

Phir chaand niklaa
Phir chaand niklaa, Phir raat thami



Phir dil ne kaha, Hai teri kami



Phir yaad k jhonkay mehak gaye



Phir pagal armaa behak gaye



Phir dil ne kaha, Hai teri kami



Phir guzray lamhon ki baatein



Phir jaagi jaagi si raatein



Phir tehar gayi palkOn pe nami



Phir dil ne kaha, Hai teri kami
  

Jun, 07 2010     336 chars (3 sms)     2228 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jis din tum Ko shaam sataYe
sard haWa dil na behlaYe

jis shab Jana''n..!
So na SaKo tum,,,

tanhaYi mein bhi tanha..
ho na SaKo tum

baY''chaini Kuch barh si JaYe
aanKh baY''Waja num ho JaYe

samjhO mein nY Yaad KiYa hY....!!
''Faraz'' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
magar qaraar se din kat rahe hon yuun bhii nahin


lab-o-dahan bhi mila guftaguu ka fan bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai,, keh sakoon bhi nahin


merii zubaan ki luknat se bad_gumaan na ho
jo tu kahe to tujhe umar bhar miloon bhi nahin


''Faraz'' jaise koi diya turbat-e-havaa chaahe hai
tuu paas aaye to mumkin hai main rahoon bhi nahin !!!
Nazro ko teri mohbt se Inkar nahi hai

Ab mjhe kisi ka INTIZAR nahi hai

Khamosh agr hun to ye ANDAZ hai MERA

Tum ye nahi smjhna k mjhe PYAR nahi hai
jhoot bool kar tu ne use apna mahwar tu bana laya hai"ami"

kal wo teri zindgi ka ek hisa bna tu kaya ho ga soch le..
Dil behl jaye to log chhor dety hain

Koi or mil jaye to log chhor dety hain

4 din ki chandni ka kya krna

Chandni dhal jaye to log chhor dety hain

kasmain to khaty hain sda sath jany ki

Zehn badal jaye to log chhor dety hain

Aaj kal k logon ka kya bharosa..!

Mosam badal jaye to log chhor dety hain

Log mohabat karty hain matlab k liye

Matlab nikal jaye to log chhor dety hain.
jub dekho mjhe to apni nigahen tham k dekhna.

kahain meri dard bhari nigahon se tumhain mohabat na ho jaye.
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
Rakhtay Hain Jo Auron Ke Liye Pyaar Ka Jazba
.
.
.
.
.
.
Wo Log Kabhi Toot Ke Bikra Nahi Kartay !
main kis terha zikar karo us muhbat ka.

jo meri maa ne mujh se bachpan main ki thi.
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Deti?
Main Apni Zaat Ka Usko Hisab Kya Deti?
Jo Ek Lafz Ki Khushbu Na Rakh Saka Mehfooz!
Mai Us Ke Hath Mein Puri Kitab Kya Deti?
wo sari batten khwab huin
or khwab se phir azab huin
jab tumko saba k jhonky se
pegham hmara milta tha
jab meri ek nazar se hi
chehra ye tumara khilta tha
kuch Yad sa tum ko hai Jana''n