Ek Pasheman Si Hasrat Se Mujhe Sochta Hai
Ab Wohi Shahar Mohabbat Se Mujhe Sochta Hai
Mein To Mehdood Se Lamhoo Me Mii Thi Os Ko
Phir Bhi Wo Kitni Wizahat Se Mujhe Sochta Hai
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijzar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Dobi Howi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Garcha Ab Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Howi
Ab Bhi Wo Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
Kitne Kush Feham Hai Wo Sakhs Ke Har Mausam Mein
Ek Naye Rukh,Naye Soorat Se Mujhe Sochta Hai
Tamam Raat Diye Pani Mein Jalati Rahi
WO Yaad Aata Raha Mein Usey Bhulati Rahi
WO Meri Nazam Ka KOi Udas Misra Tha
Mein Jisko Wehsat-E-Sehra Mein Gungunati Rahi
Nahi Pehle Koi Tha Tujhse Pehle Na Baad Mein Aaya
Ye Zindagi To Mujhe Younhi Aazmati Rahi
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai. Dosti mein duniya lakh baney rukavat, Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.