Band sheeshon k parey

Band sheeshon k parey
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera…………..!
  

Jun, 03 2010     313 chars (2 sms)     2782 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai
humain thukraa kar door bhi jana chaho to itna na jana.

kay wapis bhi aajao to wo "MAKAAM" na mile..
Neend Walo Ko Kya Khabar Iski,

Ki Jage Hain Kaun Raat Bhar Tanha..

Log Soye The Band Kamro Me,

Chand Bhatka Hai Raat Bhar Dar-Ba-Dar Tanha..
Apno ko jab apne kho dete hai, Tanhaiyo me wo ro dete hai, Kyu in palko par bithate hai log unko, Jo in palko ko aksar aansuo se bhigo dete hai...
Do chezeen meri jisam k sath nai.

ek mera dil or dosra dard
sHamMA pArwane se kehti yeh ro kar

SHAB-E-HIJAR

Aaj ki rAat bachain gain to sehAr Dekhain Gain.
Is raat ki tanhai k
Sb rang badal gae hain!,
chaand nikla hai waise hi...!
Andhere badal gae hain,
manzilen to ab b whi hain.
Kuch raaste badal gae hain,
jin pe kia tha bharosa hm ne...
Wo log hm say bichar gae hain,
dekhe the jo kbi hm ne...
Wo khwab badal gae hain,
jo bane the kbi hamsafar...
Aj whi mukar gae hain
Is tote dil k sare
Jazbat badal gae hain.
Na badle kbi hm...
Na hmare khayalat...
Bus shikwa hai yhi."KUCH LOG" badal gae hain!..
Mujhy Itna Na Chaho k
Main Khud Ko Tum
Samajh Betho''n

Mujhy Ehsaas Rehny
Do Meri Apni Bhi Hasti
Hy ... !!!
mgr kisi ne humain humsfr nhi maana....

ye baat or k hum sath sb k gaey,,,
udaas honton pe muskurahat k phool aain to jaan lena..,

k dil k andar ki kuch udasi,bohat udasi main dhal rahi hai..
Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya…
Aapi nigahon mein jabse dekha hain,
Koi bhi aaina accha nahi lagta,
Apki mohabbat pe Aise hue hain aashiq,
Ki aapko koi aur dekhe toh accha nahi lagta