Ao hum ik dusray ko

Ao hum ik dusray ko
Ao hum ik dusray ko

Bohat pyar karain..

aur Phir duja hO jaen.

Mohabat ko zinda rakhnay ka

iss k siwa koi tareka nhi.
  

Jun, 03 2010     130 chars (1 sms)     2643 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

SARI DUNYA K MAREEZON KU SHAFA DAY YARAB



AAJ MALOOM HUA HAY KAY ALALAT KYA HAY
Wo Kehta Hay......
Batao Be-Sabab Kyun Rooth Jati Ho?


Mein Kehti Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Hota Ta Roz Jin K Tabassum Pe Ek QataL,

Be-Sakhta Hansay To Qayamat He Aa Gayi... O_o
hum jis ko takte hain her waqat dil ki nazar se amir.

wo chand tu kisi or asmaan ka hai.
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
wo to ambar hai...
usey apne anchal par,
chand sajane ka haq hai
mai to fakat ek khushboo hu
khushbuo ka mukaddar to
azal me bikhar jana hi likha hai
khushboo hath nahi hati
na hi chand aur khushboo ka
wasl mumkin hai
ye to hawao ki musafir hai
chand to thos hakikat hai
jo ambar par hi sajta hai............
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi,
teri kahi hui har baat yaad aayegi,
Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..
Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..
Par kuch kami isme bhi to reh jayegi.
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi.
har lamha teri yaad aa aayegi,
Tujhko dekha raat bhar chand ne,
or subah tere chehre se milne laga,
ek din aks tera pani me pada,
wo kamal banke ab roz khilne laga.
Behtay hoay pani ko rokon kaisay,,
Yeh safar chahton ka choron kaisay,,,
tum bin nahi hai adat is dil ko dharknay ki,,
tum bin piyar ka ashiyan banaon kaisay,,,
yeh duniya hai nafrat say bhari,,
her mor per hai mushkil khari,,,
tum bin her mushkil ko sahon kaisay,,,
her sapna sajh jata hai,,,
aankhon kay band hotay hi,,
sapnay tote janay kay dar say yeh nigahyn kholon kaisay,,,,
Shahadat K Waqt Bhi Chorri Nahi Namaz,,,

Aey Maot Tu Bhi Dekh Ley Ibadt HUSSAIN a.s Ki...
yeh Na Ho Kahein tujh ko
La,jawab kar Doon Main


kuch sawal Rehne Dy,
kuch jawab Rehne Dey