YEH KIS NE HAM SE LAHO

YEH KIS NE HAM SE LAHO
YEH
KIS
NE
HAM
SE
LAHO
KA
EHRAAJ
PHIR MANGA


ABI TO SOEY THAY SAR-E-MAQTAL KO RURKHARU KAR K
  

Jun, 03 2010     104 chars (1 sms)     2423 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
tum per beety gi to tum b jan lo gay,,
,,dost,,
koi nazar andaz kary to kitna dard hota hai...!!
Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,

Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi Gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
surma samajh kar ghair ko aankhon mein di jagah,

aansoo samajh kar aankh say mujh ko gira dia.
door reH kar B teri YadooN

KO Pooja hAm nE.

Phir na kehNa k

''adab E wafa


yaad Nhi
Kuch log jindgi me daga pate he,jndgi kitni anmol he ye bhul jate he,jindgi
jina to gulab se sikho jo khud tutkar b do dilo ko mila jate hai.
Humne jitna chaha unhe apna banana,
Unhone utna hi chaha hume satana,
Dil behelane ke aur bhi tarike hai
Par shauk tha unka hume tadpana.
kehta hi raha tujhse k piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se tu abad hai yeh shahar-e-mohbat
kehte ho jinhain dard k maray nahi achay

es shaher mein tera bhi koi jurm tu hoga
ilzaam meri zaat pe saray nahi achay

aise tu parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai k mosam k ishaaray nahi achay
Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.


Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..


Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...


Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...


Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
le jayenge garai main tumko bhi baha kar.

darya k kinaron se mera zikar na karna.