Raaz-E-Ulfat Chupa Ke

Raaz-E-Ulfat Chupa Ke
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
Dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
  

Jun, 03 2010     131 chars (1 sms)     3317 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Batao kesa lagta hai?

kisi viran rasty py,

kisi anjan rasty py,

kisi ka sath mil jana,

khushi k phool khil jana,

btao kesa lagta hai!

Aur us k baad! phir ek din,

kisi ka u bichar jana,

sbhi rangon ka mit jana,

wo bandh muthi me hathon kee,

faqt kuch rait reh jana...

btao kesa lagta ha.!!
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha

aaj hue se deewaane dhundte hai.

Musafir be-khabar hai teri aankhon se,

tere shahar mei maikhaane dhundte hai
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
Tumhain bhool gya hoon, akailay rehna aa gya hai shaid.
Woh jiss khirki main chand tha, sooraj aa gya hai shaid.


Mehfill sakoon main hai, Paimana hai preshaan.
teray laboon ko chhoo kar, wapiss aa gya hai shaid
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
Dolat-e-Dard Ko Dunya SE Chupa Ker Rakhna

Aankh Main Boond Na Ho Dil Main Darya Rakhna
hum cheen lenge tumse ye shaan-e-beniyazi.

tum mangte phiroge apna guroor humse.
Ek Tabassum Hazar
Shikwo''n Ka

Kitna Pyara Jawab
Hota Hy ... !!!
Zindgi kuch bhi nahi fir bhi jiye jate hai.n
tujhpe e waqt hum ehsan kiye jate hai. . .
Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai.