Samandar Mein Otar

Samandar Mein Otar
Samandar Mein Otar Ta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Se
Kisi Se Baat KartaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi HanstaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
  

Jun, 03 2010     422 chars (3 sms)     2844 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

SARI DUNYA K MAREEZON KU SHAFA DAY YARAB



AAJ MALOOM HUA HAY KAY ALALAT KYA HAY
humne kab tumse mulakat ka wada chaha
door rah k bhi tumko tumse zada chaha
bari shidat se yaad ai
jab bhi tumhe bhulane ka irada chaha
Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein
Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaane De
Teri Mujrim hu,
Mujhe Doob Ke Mar Jaane De
wada hai tum yaad kiya karoge mujhe mujhse bhi jyada
bus ek baar tere naam per fanah ho jane de..............("_")
Humare Seeney Main Rehta Hy Bicharne Ka Amal Taaza

Hawao''n Un Se Keh Do Wo Aksar Yaad Aate Hyn
Wo Mujhe Aazma K Chor Gaye
Mere Dil Ko Dukha K Chor Gaye

Ab Koi Raasta Nahi Milta
Wo Kahan Mujhko Laa Kar Chor Gaye

Dil Se Unko Diya Tha Jo Tohfa
Maiz Par Muskura K Chor Gaye

Unka Poochun Pata Me Kis KIs Se
Wo Jo Apna Bana K Chor Gaye
Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aankhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain
ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karti hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karti hoon,
tu kaun hai kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soi,
teri yaad me najane kitni raate roi,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar.............
Zindagi Yun Bhi Bohat Kam Hai Mohabbat K lIye
Rooth Ker Waqt Ganwane Ki Zarurat Kia Hai . . . ! ! !
tre bina zindagi se koi shikwa nahi..

tere bina bhi lykn zindagi,zindagi nahi.
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..