Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
Poocha rooh nikalti hai jism sy kis tarah?Hath us ny hatoon sy chura kr dikha diyapoocha mehshar sy pehlay qayamat hai kiya??Nakab usny ruh sy utha kr dikha diyaPoocha k yeh her taraf khizan c kyoun hai???Mehfil sy khud ko utha kr dikha diyaPoocha ek diya jo hawa sy na bujh saka??Diya us ny wafa ka jala kr dikha diyaPoocha k aakhir yeh hassad hai kiya cheez??Us ny kisi aur ko apna bana k dikha diya...!
Aaj Kya Dekh Key Bher Aaee Hein Teri Aankhein
Hum Pe Aey Doost Yeh Saa-At To Hameysha Gozri
Meri Tanha Sufri, Mera Moqadder Thi FARAZ
Verna Iss Shehr-E-Tamanna Sey To Dunya Gozri
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey