Agar yeh jan-na

Agar yeh jan-na
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
  

Jun, 05 2010     443 chars (3 sms)     2588 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ishq Aur Dsoti Meri Zindagi Ka Unwaan Hai
Ishq Meri Rooh Dosti Mera Emaan Hai
Ishq Pe Kerdon Main Saari Zindagi Fida
Magar Dosti pe Mera Ishq bhi qurbaan hai
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !
"Fursatain milain jab B Ranjishain Bhula dena,,,

Kon jaane saanson Ki mohlatein Kahan tak hain..."
Kuch fasle sirf aankho se hote hai,

dil ke fasle to bato me hote hai.

Hum lakh koshish kare bhulane ki,

par kuch rishte sanso se jude hote hai
Baho me lelo mujhko ki tanha hu mai,dhadkan me basalo mujhko ki tanha hu mai,tum nai to jahan me kuch hi nahi,mujh me samaa jao k tanha hu mai
Behis hain ya log wafa soch k karna.
Hum jaise wafa darun ko khafa soch k karna.
Gul shakh se bichre to kahin ka nai rahta.
Tum zaat meri khud se juda soch k karna.
Hum majboor sahi par tujhe se kbi daga baz na hun ge.
Jb bi karo hum se gila soch k karna.
Ik bar jo rothe to mana tum tum na sako ge.
Be loss faqerun se jafa soch k karna.
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
Kuch to jite hai jannat ki tamanna lekar,

kuch tamannaye jina sikha deti hai.

Hum kis tamanna ke sahare jiye,

ye zindagi roz ek tamanna badha deti hai.
KitnAy GhAroor mAi hAi Wo MujhE TAnhA ChOr k "HumAyuN" , ,

UnhEin MALoom nAh¡ MerAy Aansu MujhE TAnhA honAy nAhi detAy . .
Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga
Dil Uske Baad Shayad Behal Jaye ga
Uski Bewafai Per Matem Kyun Kerain
Mujhko Malom Tha Wo Ek Roz Badal jaye Ga
Yeh soch kar us ki har baat ko sach maana hai Faraz...



Ke itnay khoobsurat lab jhuth kaise bolain gay...