batata hai mujhe aiyna

batata hai mujhe aiyna
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
  

Jun, 05 2010     476 chars (3 sms)     2966 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Koi din aisa bita nahi jab yaad tumhari na aati ho,
koi khwaab aise nahi jisme tum nazar na aati ho,
wo soche bhi kaise tumhe bhulane ki,
jiski har dhadkan me tum samati ho
Badnaam Zamane main Mohabbat Nahi Karte
~
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
~
Ek Baar Jisy Chaha Sada Uss Ke Rahe Phir
~
Ham Log Amanat Main Khianat Nahi Karte
~
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar
~
Zaahir Kabhi Hum Apni Ebadat Nahi Karte
~
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jay Ga Tum Ko
~
Hum Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte
~
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlain
~
Har Shakhs Pe hum Aesi Enayat Nahi Karte... ;->
Ho SaKe ToU rOoH mEiN sAmA lO hUmAiN

DiL-o-NiGaH k rIsHtEy tOu TuUt jAtE hYn. . .
dar-o-dewaar sy hasrat si barasti hy faraz.. jany kis dais chaly gay pyaar nibany waly
Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae Moasam Ki Adaon Mein...

Kisi Ka Yun Badel Jana Bohat Hi Yaad Aata Hae....!
Bari MushkAl sE sulaya hAy khud ko mAin ne,



Apni Ankhon ko TerE khawab ka Lalach dAy kr.
hum bhi zinda hain saqi kisi chahne wale ki waja se..

warna do gazz zamin to kahen bhi mil jati hai...
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!
Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
main bad dua to nahin de raha tum ko

magar dost khuda kare ke tumhen mujh sa koi na mile..
Tumein Khabar Hi Nahin K Koi Tooot Gaya


Mohabatton Ko Boht Payedar Kartay Huwey
wo jis ka naam tha sanson mein
aur honton par....
wo por por mein kuch iss tarha otarta gaya
har ek gosha dil khud bakhud mehakta gaya
hina se naam hathelee pe bhi likha os ka
wo aik shaks mujhe aaj iss tarha se mila
ke os ke chehre pe dekhi hain ajnabi ankhen