Kar ke wada wafa kaa

Kar ke wada wafa kaa
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
  

Jun, 04 2010     163 chars (2 sms)     13312 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ehsas tu hai mujhe uski muhabat ka mohsin...

per wo mujh se nazrain chura ker guzrta kaoun hai.
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
khushk tinko se ghar bana raha hon mohsin,

ye janta hon k mizaj-e-yaar aag jesa hay.
dabona chahti thein jo mohabbat k safeenay ko,

inhein lahron mein tha sahil na tum samjhay na hum samjhay...!
Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k khud ko sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay
Aik he mil jaaye toot kar chahnay wala bohat hai

Mujh say qanaayet pasand hazaaron ki tamanna nahin rakhtay!
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gia
Jo Pori Na Ho Kabhi Aesi Aas Chor Gia
Ye Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kam Hai Kia
K Khud Door Hai Yadain To Pass To Chor Gia
Jo Khuwaishain Thi Kabhi Hasraton mein Dhal Gaye Ab
Mere Labon Pe Wo Aik Lafz KAASH Chor Gia
Yeh Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha
K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khaas Chor Gia
Baharon Se Mujhe Isi Liye Tou Nafrat Hai
Inhee Ruton Mein Mujhe Wo Udas Chor Gia
Mein ne Tume
Apni wafaon ki zanjeer se
Azaad kya

Khudara!

Ye mat puchna k
Mein ne khud ko
Tumhari qaid se
Azaad kia ya nahi

Yaqeen Jano!

Mein un qediyon mein se hun

Jo khulay darwazay dekh kar bhi
Farar nahi hotey...!!
Sawab Samajh Kar Wo Dil K Tukray Karta Hai...




Gunnah Samajh Kar Hum Un Se Gila Nahi Karty... /
Hum Chup Chap Hain Humay Hergiz Be-Hiss Na Samjho...

Shihdiat-E-Gham Se Bhi Ban Jatay Hain Log Pather Dill.....
Wo Khush Hai Per Shayad Humse Nahi
Wo Naraz Hai Per Humse Nahi

Kon Kehta Hai Unhay Mohabbat Nahi
Mohabbat Tu Hai Per Shayad Humse Nahi