ankhein bhi wohi hain

ankhein bhi wohi hain
ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai...
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai...

jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jaana...
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai...

is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai...
aankhein bhi wohi hai hont bhi lehja bhi wohi hai...

jo kuchh bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se...
is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai...

woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane...
baadal ki tarah aankh se barsa bhi wohi
  

Jun, 04 2010     478 chars (3 sms)     2691 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mere hi hathon pe likhi hai taqdeer meri,

,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

aur meri hi taqdeer par mera bus nahi chalta....!
Ajeeb kismat mili hai mujhe bhi yaa RUB.

jo aaj mera hua hai kal usne mar bi jana hai.
Fraib tha unki hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zindagi samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt samajh bathay
Ab teri Yaad se Wehshat nhi hoti mujh ko,

Zakhm khulte hain AziYat nhi hoti mujh ko,

Ab kisi shakhs ki Aadat nhi hoti mujh ko,

Ab koi AaYe, chla jaYe main khush rehta hon,

AesY Badla hon TerY Shehr ka Paani pi kr,

jhoot Bolon to nadaamat nhi hoti mujh ko.
Hasne Ki Chah Ne Itna Mujhe Rulaya Hai


Koi Hamdard Nahi, Dard Mera Saaya Hai
Apno ny lota gero main kahan dum tha;;;
Meri kashti wahan dobi jahan pani kum tha;;;
Na inkaar na tha ikraar
Par hum karne lage tum se pyaar
Jaane kyun aur kab laga humein
Tum hi to ho mere dildaar




Rah pe chal rahe the hum saath saath
Tha hamare haathon mein aap ka haath
Humein kya pata tha ke zindagi mein
Yuhin saath chalne se nahi banti baat




Kitna pyaar hai hum ko aap se
Kitni zarurat hai hume aap ki
Batayen ge aap ko, karenge hum bayaan
Agar hui aap se, phir kabhi mulakat
Na jane tum par itna yakeen kyun ha.

Tera har ik khayal haseen kyun ha.

Kehte hein pyar ka dard metha hota ha

Phir ankh se nikla hoa ye aansu namkeen kyun ha
masmiyat ka ye andaaz bhi mere mehboob ka hai"mohsin"

us ko tasveer mein bhi dekhon to palkein jhuka leta hai...,
Aap Hi Apni Adao''n Pe Zara Ghour Karain Faraz,


Hum Agar Arz Karain Gey Tou Shikayat Ho Gi...
Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.

Main Ne Tumhein Aazad Kiya !

Kuch Qasmon Se !

Kuch Waadon Se !

Kuch Aankhon Ki Barsaaton Se !

Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya !

Kuch Uljhey Suljhey Dhaagey They !

Kuch Kachey Pakkey Naatey They !

Un Naaton Mein Koi Apna Tha !

Us Se Apna Sa Ik Rishta Tha !

Us Rishtey Mein Ik Chaahat Thi !

Us Chaahat Se Tumhein Aazad Kiya !

Jao Main Ne Tumhein Aazad Kiya...