us nay door rahnay ka

us nay door rahnay ka
us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
  

Jun, 04 2010     379 chars (3 sms)     2327 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kal jase ataa tha apne husan pe ghroor.

aaj wo mare payar ki beakh mang raha hai.
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Baithe-Baithe jindgi barbad na kijiye. Jindgi milti hai kuchh kar
dikhane k liye. Roke agar aasman hamare raste ko. To taiyar ho jao aasman
jhukane k liye.
Hum gam ko chupa ke muskurate gaye.
wo had se zyada humko satate gaye.
Meri aankho ki ghata barasti rahi,
wo sawan samajh kar nahate gaye.
Khuda kare ki hamari Dosti me aisa mukaam aaye,
Hum tumhe yaha yaad kare aur tumhe vaha khabar ho jaaye,
Dua bas itni mangi hai rab se ki aap jo khushi mange wo aapko mil jaaye.
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene Wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai Zindagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain Dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne Wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere Woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main Zinda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum

Kahan Ho Tum?
Wo Mila To Sadyoon K Baad Bhi Mere Lab Pe Koi Gila Na Tha


Use Meri Chup Ne Rula Diya Jise Guftugu Me Kamaal Tha
Kabhi subah ko yad aate ho.
Kabhi sham ko yad ate ho.
Kabhi kabhi itne yad aate ho
.Ki aina hum dekhte hai.
Nazar ap aate ho
Jo judai mile to woh hai ghum,
Jo dair se mile to woh hai paisa,
Jo kisi kisi ko mile woh hai pyar,
Jo qismat se mile woh hain AAP
tere hath se mere hath tk ye jo hath bhar ka he fasla....
ise napte ise kat'te meri sari umer guzar gai
Pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai Karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur Aap puchte ho ki hum par marta kaun ha
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!