Meri Rooh Jese Kuchal Gia
Koi Shaks Aese badal Gia
Yeh Kis ka hard-E-Dua Raha
Ke Mein Girte Girte Sanbhal Gia
Meri Kismaton Ka Yeh Qafla
Kisi Aur Janib Nikal Gia
Mera Pathron Se Garoor Tha
Tere Aage Sara Pigal Gia
Mujhe Yaad Teri Jo Aa Giye
Mera Dard Jese Behal Gia
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anjanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain