tumhare dil ki tum he jaano
kaash hum apne dil ki kah paate
sada hamare dil mei rahna
kaash hum tumse yeh kah paate
dastak dete dil per tumhare
es sey pehle chal doge
jab tak pahunchi ye khabar humhe
tum duir desh mei jaa baithe
Jo khabar humhe yeh pahle hoti
hum raah rok kar kah dete
pehna kar apni khushiyon ka haar
tumhe vida hum kar dete
khalti hai bas ek baat yahi
gar kahni na thee apne dil ki
ruk jaate ghari do ghari
aur hamrae dil ki sun lete
bin baadal barsat kei yuin
barsati hain yeh aankhe jab
uthti hai ek hook si dil mei
Kaash tum yeh samajh paate
mujhay fursat hi fursat ha..
mujhay fursat hi fursat ha..
saweirey jald uthna ha..
na shab ko deir se sona..
kahein baahir nahi jana..
kisi se bhi nahi milna..
na koi fikr laahaq ha..
na koi YAAD baaqi ha..
magar ye aakhri misraa..
zara sa jhoot lagta hai..!!
Raat kay pichlay pehar
uss ki shab bedar aankhoon main
nami ka ahsas uss kayy dil ka haal
bata raha tha
un aankhon main chayay surk doray
uss ki haya ki surkhi nahin
uss kay dil kay haal ki gahmaz thee
lekin shabash aay larki
tu nay usay kitni khobsorti say
apnay dil ka haal
aankhoon main chupa lia.
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo diya hai.
Rog Aise B Gham-E-Yaar Se Lag Jate Hain
:
Dar Se Uthte Hain To Dewaar Se Lag Jate Hain
:
Be-Basi B Kbhi Qurbat Ka Sabab Banti Ha
:
Ro Na Paaen To Galay Yaar K Lag Jate Hain
:
Daagh Daaman K Hon, Dil K Hon Ya Chehre K ''Fårååz''
:
Kuch Nishaan Umar Ki Raftaar Se Lag Jate Hain..!
Tere Mere Is Pyar Pe Is Zamane Ka Pahera Hai
Zamana Ye Nahi Jaanta Hamara Pyar Kitna Gahera Hai
Har Waqt Subha Shaam Dostaon Se.
Chahate Huwe Bhi Kiya Zikr Tera Hai
Teri Har Saans Se Milti Hai Zindagi Mujhe
Dhadakta Hai Jo Tere Seeney Me Wo Dil Mera Hai