Woh kahkahoN ki Masti
KahaN gayee who hasti?
Woh khwaaboN pay jaadu karna
Aur yaqeeN main badalanaa
SabaaN say sur milanaa
Tau kabhi taaroN say gungunanaa
Jab hosh nay aaNk kholi
Afqaar say ki macholi
Ab tu bhi udaas kyuoN hai
Tanhai ka paas kyuoN hai
Maanaa shub nay ziNdgi pay teri
Lagaai lambi pheri
Magar raushni kay who daany
Jiskay tujh main haiN khzaanay
Bo day is kaali raat kay seenay par
Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha
Shaako''n Se Phool
Phool Se Khushbu Juda Na Ho
Sheher-e-Dil Main Tere Siwa
Koi Duusra Na Ho
Yun Khoye Teri Yaad Main
Khud Ko Bhula Dia
Jaise Hum Ko Apne Se Koi
Waaste Na Ho . . .
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
Dil Ki dhadkno Ki awaz Suni he maine, Apni Ankho se Koi Baat kahi Hai Maine,
Bus 1 dedar k liye Khud ko sambhale Baithe hai,
Jane Ye ishq Me Kaun c raah Chuni He Maine?
Kisi K Hijar Ka Phir Imtihan Toot Para
Hamare Dil Mein koi Makaan toot para
Bas Ik Lamhe ko Kamzor Per Gaye thy ham
Uss Ik Lamhe Mein Sara jahan Toot Para