Main Udaasian Na Saja Sakoon
Kabhi Jism-o-Jaan k Mazaar Pe
Na Diye Jalain Meri Aankh Main
Mujhe Itni Sakht Saza Na De
Zara Dekh Phool Ki Pation Ne
Bikhar Bikhar K Tamam Shab
Tera Naam Likha Hai Rait Par
Koi Leher Aa K Mita Na De
Maire Saath Chalne K Shauq Main
Bari Dhoop Sar Pe Uthayega
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka
Kahin Gham Ki Aag Ghula Na De
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se
Ye Dukhon k Phool Chuna Karoon
Meri Salatnat Mera Fun Rahe
Mujhe Taj-o-Takht Khuda Na De
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoo mai ....
tujhe bina mile tera hall bata sakta hoo mai....
hai meri dosti mai itna dum....
apne ankh ke ansoo tere ankh se gira sakta hoo mai ,,....
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
Tum Ko Azeez Jan Se Pyara Bana Liya..
Dil Ka Sukon Aankh Ka tara Bana Liya..
Ab Tum Wafa Karo Ya Na Karo Ye Tumhara Zarf..
Humne Tu Tumhe Zindagi Ka Sahara Bana Liya..
Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi