Kabhii jo hum nahii hongey

Kabhii jo hum nahii hongey

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
  

Jun, 04 2010     492 chars (4 sms)     2389 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K Jaam Mein Zehar hai Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k HuM Thukra Na Skay… !
bina meray adhooray tum tumhara pyar bhi aadah
humaray bin tumhare pyar ka aagaaz bhi aadah
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..
WO Baat Baat Pe Deta Tha Mujhe Parindon Ki Misaal
Saaf Saaf Nahi Kehta Ke Mera Shehar Chor De
Anjan to is gham se koi reh nahi sakta

Koi zabt krta ha to koi seh nhe sakta

Mohabat to hr dil ko ho jati hai lakin

Koi izhar krta hai to koi keh nhi sakta!
~*~ Tum Hi Ho ~*~



Shab ki apni
parchai''yan hyn

Din k apny tevar hyn

Kch yaadai''n hyn ,

Kch baatai''n hyn

Apny apny
roz-o-shab k
sab qaidi hyn

Roz-o-shab k
Saarey
manzar-naamo''n main

Jo chehra sab se ujla hy

Wo "TERA" hy ...
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
=======================================
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
Khizao''n Main
Hota Hy Imtihan
Wafao''n Ka

Jo Shajar Ko
Hon Pyare,
Wo Pattey Nahi Girtey
Us muqam per hun jahan na maal na naam ka charcha hai

Apno se main b bichar gaya wohi qisaye aam ka charcha hai

Mout k dar per kara hun main jannat ki aas liye huwe

Zulam tou hai k haat mein mere apne amal ka parcha hai
Ab kissay kahein aur kon sune jo haal tumhare baad hua
is dil ki jheel si aankho main ik khuab bohat barbaad hua
shehar main kitne chehre the kuch yaad nahi
ek shaks kitabo jaisa tha woh shaks zubani yaad hua...
Mukammal pyar paa jana

tasavvur mai hai mumkin

Tukdon-tukdon mei jod

mohabat to sajani hai.

Gahre utrane per hi

milta hai mohabbat ka maza

Raat ke karwaton per hi

tiki maujon ki rawani hai.