Bheed Main Ek Ajnabi Ka

Bheed Main Ek Ajnabi Ka

Bheed Main Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sab Se Chup Ker Wo Kisi Ka Dekhna acha Laga


Surmayi Aankhon K Neeche Phool Se Khilne Lage
Kehte Kehte Wo Kisi Ka Sochna Acha Laga

Baat Tou Kuch Bhi Na Thi Magar Uska Ek Dum
Haath Ko Honton Pee Rakh Ker Rokna Acha Laga

Dil Main Kitne Ehad Bandhey Thay Bhulaane K Liye
Wo Mila Tou Saare Iraade Todna Acha Laga

Is Adoo-e-Jaan Ko Kaise Main Bura Kahoon
Jab Bhi Aaya Saamne Wo Bewafa Acha Laga
  

Jun, 04 2010     452 chars (3 sms)     3401 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

un ankhon mai bhi halki si nami rehti hai...

baat krte hain jo aurun ko hansaney k liye..
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
Mere WATAN ki mitti Nilaam hone lgi hy

BAGHAWAT is k Khilaaf Sar-e-Aam hone lgi hy

Bhej koi MUUSA Ae Mere RAB

k FIROUN ki FIROUNIAT Aam hone lgi hy
Kabhi Zindgi ka naam ha Muhabbat.
Kabhi moat ka pegham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat se milti ha khushi.
Kabhi Gham ki sham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat aansoun ki barish ha.
Kabhi hansi ka jaam ha Muhabbat.
Kabhi hai Muhabbat Dil ki jalan.
Kabhi Dil ka arman hai Muhabbat.
Raqs Karti Hain Gardish-e-Dauran,
Dar Khulay Hain Sharab Khano K,


Chai Peenay Ko Ab Kahan Jayen Faraz,
Bund Hogaye Hain Hotal Pathano K..
Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K
"Jaam" Mein "Zehar" hai "


BEWAFA
Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k
HuM Thukra Na Skay... !
tu mujhe chor ke gaya tu yaqeen aya.

koi bhi zarori nai sanso ki siwa.
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi Zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
Mujh se Wo Aksar Kehti Thi.

Meri Bus Itni Khuahish Hai.

Kuch Aisay Pehchani Jaon.

Aap K NAAM se Jani Jaon.
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai

Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai

Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai

Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai

Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
zindgi dard ke suli se sada deti hai
ye dunya mujhy jeeny ke saza deti hai
wo teri hatho ke karamt ke tu bath he keya
teri perow ke khak be shafa deti hai
ab app mujhy se mera haal puchty hai keya
mujhy tu iatly ke barf be jala deti hai