Teri qurbat mili tera

Teri qurbat mili tera
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
  

Jun, 04 2010     155 chars (1 sms)     4091 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Us ko to Bicharne ka Saleeka bhi nahi aya

Jate howe Khod ko yaheen Chor gia..!!
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
ye kis mukaAm pe laii hai merii tanhai mujhe

k mujhse Aaj koi badgumaAn nahi hota...!
Ao hum ik dusray ko

Bohat pyar karain..

aur Phir duja hO jaen.

Mohabat ko zinda rakhnay ka

iss k siwa koi tareka nhi.
Mujhe Ehsas-E-Ulfat Tum Inyat Kyun Nahi KErte?
Meri Izzat To Kerte Ho Mohabbat Kyun Nahi Kerte?
Ye Sare Log Kehte Hain K Tum Chanchal Tabiyat Ho
Magar Tum Samne Mere Sharat Kyun Nahi Kerte?
Jo APni Guftugu Mein Phool Tum Takseem Kerte Ho
Kabhi Inn Pholon ki Mujh Per Shakhawat Kyun Nahi Kerte?
mery kufr-e-mohabat pay na kar tanqeed ay saaqi..

koi to bat dekhi thi,k sajda kar liya hum ne...
Kuch na kuch to zaroor hona hai,
Saamna aaj unse hona hai,

Todo, phenko,rakho, karo kuch bhi,
Dil humara hai kya khilona hai,

Zindagi aur maut ka matlab,
Tumko paana hai tumko khona hai,

Itna darna bhi kya hai duniya se,
Jo bhi hona hai woh to hona hai,

Uth ke mehfil se mat chale jaana,
Tumse roshan yeh kona kona hai.
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
hazaaro ki duniya mein,
na koi gahreeb hota hai,
na koi amer hota hai,
jise sacha dost mil jaye,
to vohi khushnaseeb hota hai..
Hum ne kaha KAMAL ho jo num hum ko bhula sako FARAZ

Hum ne fakt baat ki us ne KAMAL kar dia.
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi