Aankhain Khoob Rooti Hain,

Aankhain Khoob Rooti Hain,
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain To Aankhain Khoot Rooti Hain..


Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Teri Tasweer, Adhooray Khat To Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..


Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain To Aankhain Khoob Rooti Hain..
  

Jun, 05 2010     689 chars (5 sms)     2979 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Din udas Hain Teray Bin hijar shamain dasne lagi Hain,


Lout aao tum meray haal pe meri Tanhayian hansane lagi Hain.
tum tu kahte thy kh mujhy kisi se muhabat hi nai hui.

tu phir yeh shakhs kon hai jo hr shaam gahr se nikal parta hai.
Yun muskuraya mera dil, Ki tujhpe pyar aaya ae mere dil,
Tuhi toh hai woh mera dil, Dhadkane jiski yahan mere dil,
Mere ankhon mein tuh jhaank, mohabbaat sae zyada mohabbat,
Dil ki woh aag dikhegi tujhe jo hai sirf tere liye ae mere dil..
apny tarouf k liye etna hi kafi hai shakeeb

hum wo rasta chor daity hain jo aam ho jaeey
kisi ney pooch liya agar udaasiyon ka sabab....

to moasamon ka gila ker k taal dain gey hum...
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
Aalam-E-Mohabbat Main
Ik Kamal-E-Wehshat Main
Besabab Rafaqat Main
Dukh Uthana Partaa Hai
Titlian Pakarne Ko
Door Jana Parta Hai
Woh shakhs mujh ko jeet kay hara hai aur bus
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bus

Kesay kahoon keh us ka irada badal gaya
Such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

Dunya ko is main dard ki shiddat kahan milay
Aankhon say toot’ta hua tara hai aur bus

Lafzon main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
Kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

Ab in main koi khwab sajanay nahi mujhay
Aankhon ko intazar tumhara hai aur bus

Main nay kaha keh khwab main dekhi hain barishain
Us nay kaha keh ik ishara hai aur bus.
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Chandni Raat Mein Aur Bhi Shidat Say Aaye Gee Us Ki Yaad
Behtar Hai Faraz So Jana Shaam Say Pehlay
jis ki AnkhAin mujhy AndAr se B Parh SaktI Hon.




Koi ChehrA To mere ShehAr mAin AisA La Dy.
In palko ko tere didar ki pyaas hai,

Tu dur nhi paas hai.

Ruke ruke ye pal najane kyo udas hai,

Tujpe toh bahut per khudpe nhi vishwas hai.

Kaisa ye ehsas hai.