WAFA is ko nahin keht

WAFA is ko nahin keht
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
  

Jun, 05 2010     397 chars (3 sms)     3557 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujh se vaaqif to mere jism ka saayaa bhi na tha
Kaisay ho jata tumhara main khud apna bhi na tha

Jitna mayuus hai woh shakhs bikhar ker mujh se
Itni shiddat se to main ne usay chaaha bhi na tha

Jaisay ilzaam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to main ne usay dekha bhi na tha

Meri aawaaz ka gham sheher ne jana kyunkar
Main to us bheer mein khaamosh tha bola bhi na tha..........;->
Parastish ki Tamana hy

magr Hai re majboori

SANAM jiss se Trasha jaye wo pathar nhi Milta.
Rishta hamara is jahan mein sabse pyara ho,

jaise zindagi ko sanso ka sahara ho.

Yaad karna hamein us pal mein,

jab tum akele ho or koi na tumhara ho
Ek raat wo mile khwab mein,


hamne pucha kyon thukraya aapne.


Jab dekha to unki aankho mein bhi aansu the,


phir kaise puchte kyon rulaya aapne
Khoaf.!

Meri zindagi main

ik nya rang bharnay say pehle

Wo muskurai aur phir

Larztay hoe lehjay main boli

Muje dar lagta hai.
Tujhko bhi jab apni Qasmain
apne waadey yaad nahi Aey be''wafa !


Ham bhi apne khuwaab teri aankh0n mai rakh kar bh0ol gaye . .
Eay Subah main ab kaha raha hon?Khawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo chupa gya hon.main aur faqt ussi ki khawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
Daikhi jo meri nabz tou kuch sochnay k baad

Lia haath mai kagaz or bemaar e ishq likh dia

Qurbaan kyun na jaun mai aisay hakeem kay

Nuskhay mai jis nay sharbat e dedaar likh dia
main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..

tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra...
mat chor mera sath tu zindagi mein is tarah mohsin..

shayad hum zinda hain tumhary hi sath rehny say..
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki woh dekh rahe hai kinare se,
Hum doob bhi rahe hai to koi baat nahi
Sab kuch hai Pr dil ki dawa nahi

Dur mujhse hai Pr mein khafa nahi

Malum hai ab bhi chahti hai mujhko

Vo thodi ziddi hai Pr bewafa nahi.!